AAP BAHUT AJIIB HAIN
ham se bahal rahe hain aap, aap bahut ajiib hain
dard main Dhal rahe hain aap, aap bahut ajiib hain
saayaa-e-vasl kab se hai aap kaa muntazir magar
hijr main Dhal rahe hain aap, aap bahut ajiib hain
apane Khilaaf faisalaa Khud hii likhaa hai aap ne
haath bhii mal rahe hain aap, aap bahut ajiib hain
vaqt ne aarazuu kii lau der hui bujhaa bhii dii
ab bhii pighal rahe hain aap, aap bahut ajiib hain
zahamat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiye nahin
gir ke sambhal rahe hain aap, aap bahut ajiib hain
dai'ravar hi to hain ishq ke raaste tamaam
raah badal rahe hain aap, aap bahut ajiib hain
dasht ki saari raunaqain Khair se ghar main hain to kyuN
ghar se nikal rahe hain aap, aap bahut ajiib hain
apanii talaash kaa safar Khatm bhii kiijiye kabhii
Khvaab main chal rahe hain aap, aap bahut ajiib hain