-
kasay kahain12
dil kii baat labo.n par laakar ab tak ham dukh sahate hai.n ham ne sunaa thaa is bastii me.n dil vaale bhii rahate hai.n biit gayaa saavan kaa mahiinaa mausam ne nazare.n badalii lekin in pyaasii aa.Nkho.n me.n ab tak aa.Nsuu bahate hai.n ek hame.n aavaaraa kahanaa ko_ii ba.Daa ilzaam nahii.n duniyaa vaale dil vaalo.n ko aur bahut kuchh kahate hai.n jis kii Khaatir shahar bhii chho.Daa jis ke liye bad_naam hue aaj vahii ham se begaane begaane se rahate hai.n vo jo abhii rah_guzar se chaak-e-garebaa.N guzaraa thaa us aavaaraa diivaane ko 'Jalib'-'Jalib' kahate hai.n
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules