deepak raag hai chahat apni kahe sunaayeen tumhain
hum to sulagte hi rehte hain kiyoon sulgaayeen tumhain
turk-e-muhabat, turk-e-tamana ker chukne k baad
hum peh yeh mushkil aan peri hai kaise bulaayeen tumhain
dil k zakham ka rang to shayed aankhoon main bher aaye
rooh k zakhmoon ki gehraayee kaise dikhaayeen tumhain
derd hamari mehroomi ka, tum tab jaanoo ge
jab khane aaye gee chup ki saayeen saayeen tumhain
sunaata jab tanhaayee k zeher main bujhta hai
woh gheryaan kiyoon ker kat ti hain kaise baataayeen tumhain
jin batoon ne piyaar tumhara nafrat main badala
der lagta hai woh batain bhi bhool na jain tumhain
urte panchi dhalte saayee, jate pal aur hum
bairen shaam ka thaam ke daman rooz bulaayeen tumhain