Results 1 to 7 of 7

Thread: Hamain Tum say Muhbbat hai....!!

Hybrid View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    6,287
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    337 Thread(s)
    Rep Power
    21474859

    Hamain Tum say Muhbbat hai....!!

    mOhabbat Aag hAi tO Phir
    Merii Rug Rug Mein Bharkii hAi
    Meri Aankhien hAin Eik ShOla Meri Saansien hAin Eik Agan
    AlaaO Teri YaadOn Ka Meray Dil Mein Kahien RoShan
    mUjhey Ab Fikr hAi kOii Na kOii Gharz hAi Is Sey
    K Teri YAad Mein Shab Bhar
    Wafa Ka Naam Ley Ley Kar
    Khien hUm KhUd Hii jAltay hAin Ya Key Deep jAltay hAin

    mOhabbat Yaad hAi tO Phir
    Meray Dil Mein hAi yOn RakSaan
    K hUm Ko Fikr hAi kOii Na Hii hOsh hAi Baaqi
    Faqt Eik Yaad hAi Baaqii
    jO Dil Kii Baanjh Dhartii Par AshkOn Key Sang Baras Jaaye
    tO Phir BarSat Kii Ley Mein
    Kahien Eik PhOol Khilta hAi
    hUm Us PhOol Kii KhUsbOo tUmharay Naam Kartay hAin
    tUmhari Yaad Mein Aksar Subah Se Shaam Kartay hAin

    mOhabba Gar Samandar hAi
    tO Phir Meri WafaaOn Key
    Sabhi gOhar O Sadaf Us Kii GehraaiyOn Mein BaStay hAin
    K Meray Dil Mein Phaila hAi
    Ajab Chahat Ka Yeh Sagar
    HAan Jis Ki Aakhrii Had Sey
    Sabhi Thehray Sey JazbOn Ko yOn hUm-Kinaar Karna hAi
    Mila Kar Aankh Ka Dariya Is Behar e Kinaar Ko
    Be-Kinaar Karna hAi

    mOhabbat DaSht hAi kOii
    tO Phir PairOn Mein Ab Meray
    Nahi hAin Larzishien Baaqii
    Meray PairOn Sey Uljhay hAin jO Yeh RaStay Sab Hii
    mUjhey Teray ShOq e jUnOon Mein
    Eik Safar La-Haq hAi
    K Jis Key mOr Par Aakhir mUjhey Bhatak Hii jAna hAi
    Aur yOn hUm Aik TasalsUl Sey Teri Janib Rawaan
    Is Aik mUsalsal Safarii Key Bus GhUbaar o Gard Hii Thehray
    K hUm Sey Khaaksaar tO Sehra nOrd Hii Thehray

    mOhabbat Gar kOii KhUsbOo
    tO Phir
    hUm Sar KhUshii Key Eik Numayaan Dairay Mein hAin
    K Jis Kay Gird Phailii Yeh Teray Lams Ki Mehkaar
    Meri SaansOn Mein Shamil hAi
    Meray Dil Sey NiGaahOn Tak Kaii AaraSta RaStay
    Terii Hii Simat Aatay hAin
    Suhaanay Geet Gaatay hAin
    mUjhey Teri Chahat Mein yOn In Ka Saath Hasil hAi
    K mUjh Par Ab Nahi Zaahir
    Manzil hAi Meri "KhUsbOo"
    K KhUshbOo Hii Manzil hAi

    mOhabbat Khwaab hAi kOii
    tO Phir Khwabeeda Yeh Aankhien
    Kaii NeendOn Key Eik GehRay Hisaar e Sehar Mein hAin Qaid
    Meri PalkOn Pey hAin Baithay Kaii Hii Un Ginat Sapnay
    K Jin Kii MazilOn Key Ab Amen tUmhii tO hO Thehray
    hUmarii Khwaab NaGrii Key Makeen tUm Hi tO hO ThehRay
    So Is Ehad e mOhabbat Mein
    Nahi Ab Dar kOii La-Haq
    mUqaabil AandhiyOn Key
    In ROshan Sab ChiraghOn Ki Ab Tabeer hO jAisey

    mOhabbat Gar FaSana hAi tO Phir
    Inkaar hAi hUm Ko
    K Meri Aankh Mein ROshan tUmharay Naam Key jUgnOo
    Meray Dil Mein DrakhShaan Sab tUmhari Yaad Key PehlOo
    Meri Sochon Pey Haavii wO tUmharay Qurb Kii KhUsbOo
    Meray JazbOn Kii Suchaii WafaaOn Key Rang o LahOo
    kOii Farzii Kahaanii hAi
    Na Hii Afsana kOii

    mOhabbat Aaiyena SOorat
    K Jis ein Sabt hOo Ba hOo Eik Ask e HaQeeqat hAi
    mOhabbat tO mOhabbat hAi
    Kabhi dAsht o Samandar hAi Kabhi Aag Kii SOorat
    Kabhii YaadOn Kii KhUsbOo Kabhi Khwaab Kii SOorat
    Magar Ab Raas hAi hUm Ko
    mOhabbat Key Sabhii mOusam mOhabbat Kii Har Eik SOorat
    K Sb MansOob hAin tUjh Sey
    mOhabbat Key HaSeen RaStay , mOhabbat Key Sabhi Dariya

    Teri Jaanib Rawaan hAin yOn
    K Chahat Key Sabhi mOusam
    Kisi Eik Khaas nUktay Par KhUd Mein gUm hO Jaaien
    Sarapa e tUm hO Jaaien
    mOhabbat tUm Hii ThehRay
    mOhabbat Gar tUm Hii ThehRay
    tO Phir RaahOn Mein Haaiyl In
    BiChray Sab Hii BarsOn Kii Qasam hAi Meray JazbOn Ko
    K wO Tajdee Kar Daalien FaQt Itna Hii Keh Daalien
    "K Kal Bhi Dast e Ulfat Ko Eik MatlOob tUm Hii Thay
    Ab Bhi Meray LafzOn Sey Bas MaQsOod tUm Hii hO "
    Kal Bhi tUm Sey Thii POorii
    Meri Be-Had AndhOori Zaat
    Abhi Bhi Meray Jewan Kii
    BAs Eik Hii ZarOorat hAi
    hUmien IQraar Tha Kal Bhii
    hUmien IQraar hAi Ab Bhii
    hUmien tUm Sey mOhabbat Thii
    hUmien tUm Sey mOhabbat hAi.

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Hamain Tum say Muhbbat hai....!!

    Khoubsurat Inthikhab

  3. #3
    Mohammad Sajid's Avatar
    Mohammad Sajid is offline * خاک نشین *
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Hijr
    Posts
    152,881
    Mentioned
    108 Post(s)
    Tagged
    8578 Thread(s)
    Rep Power
    21475005

    Default Re: Hamain Tum say Muhbbat hai....!!

    Very Nice
    پھر یوں ہوا کے درد مجھے راس آ گیا

  4. #4
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Hamain Tum say Muhbbat hai....!!


  5. #5
    Join Date
    Sep 2010
    Location
    multan
    Posts
    3,105
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474854

    Default Re: Hamain Tum say Muhbbat hai....!!

    nice

  6. #6
    *jamshed*'s Avatar
    *jamshed* is offline کچھ یادیں ،کچھ باتیں
    Join Date
    Oct 2010
    Location
    every heart
    Posts
    14,585
    Mentioned
    138 Post(s)
    Tagged
    8346 Thread(s)
    Rep Power
    21474865

    Default Re: Hamain Tum say Muhbbat hai....!!

    Umda 07 - Hamain Tum say Muhbbat hai....!!
    کہاں اتنی سزائیں تھیں بھلا اس زندگانی میں
    ہزاروں گھر ہوئے روشن جو میرا دل جلا محسنؔ


  7. #7
    Join Date
    Aug 2012
    Location
    Baazeecha E Atfaal
    Posts
    14,528
    Mentioned
    1112 Post(s)
    Tagged
    210 Thread(s)
    Rep Power
    27

    Default

    Bohat Khhoob :-)
    Khush Rahai'n :-)
    (-: Bol Kay Lab Aazaad Hai'n Teray :-)


Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •