Quote Originally Posted by withlove View Post
Janab-e-Ali Zubair!

aap ne nazm ko parha aur parkha.. khushi huee.. nazm radd kernay ka Shukria..mera bhi apni tamam shayeri ke baray mein yehi khayal hai.. magar main ne isi liye pehlay maazrat ki thi ke beghair taseeh ke pesh ker raha hon.. ye nazm purani likhi huee hai .. ab ki baar socha tha ke taseeh ker ke pesh keron ga.. magar waqt na mil saka to yunhi hazir ker di.. aap ne jin ghaltiyon ki nishandahi ki .. wo bhi durust.. magar iss nazm mein aur bhi kuch ghaltiyaa'n hein.. jo maloom hein.. aap ki hindi tarkeeb wali baat wazahat talb hai .. eik to janm hindi ka nahi sanskrit ka lafz hai .. ye theek ke hindi mein bhi mustamil hai .. doosra ho sakta hai aap ke kehnay ka matlab ho ke hindi aur sanskrit dono ko tarkeeb mein istemal nahi kiya ja sakta.. magar pyar sanskrit ka lafz hai ... aur pyar-o-ikhlaas urdu mein mustamil hai.. kuch lughaat mein bhi dekh chuka hon.. kuch mein pyar ikhlaas eik saath likha hai aur kuch mein pyar-o-ikhlaas hi darj hai .. isi tarah pyar-o-mohabbat bhi mustamil hai ..iss matan mein aap kya kehtay hein???

aur aap ne wc mein jo silsila shuru kiya wo besh'baha hai.. dekh chuka hon.. baqi hum iss qabil nahi ke aap ke shagird ka darja pa saken.. Nawazish..

sab keren tareef meri ye zaroori to nahi
aap ne tanqeed ki hai aap ka bhi shukria

wafa aur dua ke saath
withlove
aray mery piyaray dost..rad karnay ka lafz mujh say ghalat ada hogaya... rawani main mujhay ahsaas nahi raha..wrna main kiya or meri bisaat kiya jo itnay achay sha,ir or itnay achay sukhn fahm ki sha,iri ko rad keron...
lughat main jab hindi ki baat krtay hain to amooman sanskirat hi hota hay...
aam boal chaal or sha,ir kay share main boht farq hota hay, sha,ir ki zuban sanad maani jaati hay, achi lughaat main lafz ki sanad main hamaisha kisi baray sha,ir ka share moajood hota hay..
ham kahtay hain cheekh o pukaar.... cheekh or pukaar donon hindi kay lafz hain in ko ham farsi tarkeeb say marboot nahi krsaktay,ye urdu ka usool hay... agar aisi koi aik misaal...meer,ghaalib,iqbaal,joash,jon ailya, ya kisi or baray sha,ir say mujhay mil jaaiy,to meray ilm main izafa hoga...
asaatiza kay mutaabiq cheekho pukaar ko cheekh pukaar likha jaaiy ga.. piyar o mohabbat ko piyar mohabbat ya piyar or mohabbat likha jaaiy ga... piyar o ikhlaas agar kisi lughat main moajood ho to mujhay us lughat ka naam zuroor batana.mery liye ye naqabil e yaqeen baat hay! or sanskirat main piyaar nahi priya hay priya+al say aam hindi main piyaar hogaya ...
ye aik urdu ka usool hay kay hindi alfaaz farsi ya arabi tarkeeb say istamaal nahi honagay...ye usool meer,ghalib,iqbaal,josh or tamaam moatbar shaora or nasar main abulkalaam azaad,qazi abdussattar,hafeez jalandhri,hasrat moahaani,dipti nazeer ahmad, say ham tak chala aaraha hay...
agar aap sha,iri ki baat krain gay to zubaan bhi drust krni hogi...wrna to sab theek hay..
urdu imla ki thread main to azeezam main to khud kuch seekhnay ki koshish kr raha hon, agar tum hamari jamaat ko is qaabil nahi samjh rahay to ham sharamsaar hain..
daikho meri tanqeed ka hargiz matlab ye nahi hota kay kisi ki sha,iri ko rad krta phiron...Khuda ki qasam..tumhari nazm jesa main aik misra bhi nahi kah sakta... nishandahi aik sehat mand or khush gawaar riwayet hay... janam din say yaad aaya kay din o raat bhi log likhtay hain, jo ghalat hay.din raat drust hay..zindagi o moat bhi likhtay hain,ye bhi ghalat hay...moat zindagi drust hay...
aik baar phir sharamsaar hon kay waqae RAD ka lafz main nay boht ghalat boala..is say ijz kay bajaiy takabbur jhalakta hay..is pr aap bhi maaf krna or Allah bhi mujhay maaf farmaaiy....