Assalam-o-Alikum WR WB
Janaum din per likhi hui ya nazum .... achai lagi umda
Happy Birthday again
FeamnAllah
wah jab kia baat hai
bht khoob
boht hi achi kawish hay,,kamaal e fan nazar aaya hay is nazm main..laikin aik boht bari ghalati hogai hay..jis ki waja say taqreeban nazm rad hogae hay.or ghalati hay imla ki... janam hindi zuban ka lafz hay... or hindi zuban ko tarkeeb main istamaal krnay ki urdu main qat,an ijaazat nahi hay..taqreeb e janam din or janam kay saath tum nay jitni bhi tarakeeb banae hain wo ghalat hain inhi baton kay liye ham nay wc main urdu imla kay hawalay say aik seekhnay or sikhanay ka silsila shuro kiya hay,agar tum sa qaabil sha,ir waha aaiy to yaqeenan hamari hosla afzaae hogi
aik misra likha hay tum nay:
abhi deeda e tasawwur gham e yaar say laray hain
agar misra aisay hi hay to imla kay hisab say misra yoon banay ga
abhi deeda e tasawwur gham e yaar say lara hay
laikin is tarha bhi mafhoom nahi ban raha,is ki tarkeeb yoon honi chahiye
abhi deeda ``o`` tasawwur gham e yaar say laray hain:
agar tum samjho kay main nay koi ghalat nishan dahi ki hay to mujhay zuroor aagah krna...
is kay ilawa nazm apnay khaaliq ki bay panah khallaqi ki gawah hay
boht shukriya
Ali zubair
Janab-e-Ali Zubair!
aap ne nazm ko parha aur parkha.. khushi huee.. nazm radd kernay ka Shukria..mera bhi apni tamam shayeri ke baray mein yehi khayal hai.. magar main ne isi liye pehlay maazrat ki thi ke beghair taseeh ke pesh ker raha hon.. ye nazm purani likhi huee hai .. ab ki baar socha tha ke taseeh ker ke pesh keron ga.. magar waqt na mil saka to yunhi hazir ker di.. aap ne jin ghaltiyon ki nishandahi ki .. wo bhi durust.. magar iss nazm mein aur bhi kuch ghaltiyaa'n hein.. jo maloom hein.. aap ki hindi tarkeeb wali baat wazahat talb hai .. eik to janm hindi ka nahi sanskrit ka lafz hai .. ye theek ke hindi mein bhi mustamil hai .. doosra ho sakta hai aap ke kehnay ka matlab ho ke hindi aur sanskrit dono ko tarkeeb mein istemal nahi kiya ja sakta.. magar pyar sanskrit ka lafz hai ... aur pyar-o-ikhlaas urdu mein mustamil hai.. kuch lughaat mein bhi dekh chuka hon.. kuch mein pyar ikhlaas eik saath likha hai aur kuch mein pyar-o-ikhlaas hi darj hai .. isi tarah pyar-o-mohabbat bhi mustamil hai ..iss matan mein aap kya kehtay hein???
aur aap ne wc mein jo silsila shuru kiya wo besh'baha hai.. dekh chuka hon.. baqi hum iss qabil nahi ke aap ke shagird ka darja pa saken.. Nawazish..
sab keren tareef meri ye zaroori to nahi
aap ne tanqeed ki hai aap ka bhi shukria
wafa aur dua ke saath
withlove
Last edited by withlove; 20-04-2008 at 07:03 PM.
wah ji wah,
yahaan to baRi khoobsurat adbi baat cheet ho rahi hai,jis se yaqeenan mujh jeson ko bahot kuchh seekhaney ko mil sakta hai,
issey aor is tarah ke behis mubaaisey jaari rakhiye plz.bahot kuchh seekhaney ko milta hai in se
bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN