aray mery piyaray dost..rad karnay ka lafz mujh say ghalat ada hogaya... rawani main mujhay ahsaas nahi raha..wrna main kiya or meri bisaat kiya jo itnay achay sha,ir or itnay achay sukhn fahm ki sha,iri ko rad keron...
lughat main jab hindi ki baat krtay hain to amooman sanskirat hi hota hay...
aam boal chaal or sha,ir kay share main boht farq hota hay, sha,ir ki zuban sanad maani jaati hay, achi lughaat main lafz ki sanad main hamaisha kisi baray sha,ir ka share moajood hota hay..
ham kahtay hain cheekh o pukaar.... cheekh or pukaar donon hindi kay lafz hain in ko ham farsi tarkeeb say marboot nahi krsaktay,ye urdu ka usool hay... agar aisi koi aik misaal...meer,ghaalib,iqbaal,joash,jon ailya, ya kisi or baray sha,ir say mujhay mil jaaiy,to meray ilm main izafa hoga...
asaatiza kay mutaabiq cheekho pukaar ko cheekh pukaar likha jaaiy ga.. piyar o mohabbat ko piyar mohabbat ya piyar or mohabbat likha jaaiy ga... piyar o ikhlaas agar kisi lughat main moajood ho to mujhay us lughat ka naam zuroor batana.mery liye ye naqabil e yaqeen baat hay! or sanskirat main piyaar nahi priya hay priya+al say aam hindi main piyaar hogaya ...
ye aik urdu ka usool hay kay hindi alfaaz farsi ya arabi tarkeeb say istamaal nahi honagay...ye usool meer,ghalib,iqbaal,josh or tamaam moatbar shaora or nasar main abulkalaam azaad,qazi abdussattar,hafeez jalandhri,hasrat moahaani,dipti nazeer ahmad, say ham tak chala aaraha hay...
agar aap sha,iri ki baat krain gay to zubaan bhi drust krni hogi...wrna to sab theek hay..
urdu imla ki thread main to azeezam main to khud kuch seekhnay ki koshish kr raha hon, agar tum hamari jamaat ko is qaabil nahi samjh rahay to ham sharamsaar hain..
daikho meri tanqeed ka hargiz matlab ye nahi hota kay kisi ki sha,iri ko rad krta phiron...Khuda ki qasam..tumhari nazm jesa main aik misra bhi nahi kah sakta... nishandahi aik sehat mand or khush gawaar riwayet hay... janam din say yaad aaya kay din o raat bhi log likhtay hain, jo ghalat hay.din raat drust hay..zindagi o moat bhi likhtay hain,ye bhi ghalat hay...moat zindagi drust hay...
aik baar phir sharamsaar hon kay waqae RAD ka lafz main nay boht ghalat boala..is say ijz kay bajaiy takabbur jhalakta hay..is pr aap bhi maaf krna or Allah bhi mujhay maaf farmaaiy....
Bohat khoob.. aap ne yaqeenan bohat achi wazahat farmayee.. aap ka itna waqt liya.. maazrat.. jahan tak baat sanskrit ki hai.. to hindi aur sanskrit ki alag alag pehchan hai .. so unhen alag alag hi rakha jaye to behter hai .. jaisay urdu mein arbi ke alfaaz ko arbi ke alfaz hi kaha jata hai.. magar aap ki baat is lehaz se bilkul baja hai .. ke pyar hindi ka lafz hai .. kyun ke sanskrit mein jaisay dar'dal hai magar hindi aur urdu mein badal .. isi tarah sanskrit mein prya'aal hai .. jabke 1611 mein "Kuliyaat qali qutab shah" mein pyar ban gaya.. aap ne deegar jo masalen dein.. wo bhi kasrat se mustaml hein.. ji wo alag baat ke ghalat hon gi .. magar yunhi rawaj pa chuki hein.. is ki zinda jawais misaal.. lafz qulfi hai.. arbi zuban ka lafz hai .. aur 1697 mein "deewan-e-hashmi" mein istemal hua.. jabke urdu'daan jis lafz ko asal mantay hein wo .. qufli hai.. jo ke arbi zuban ka lafz hai aur 1824 ko "fasana-e-ajayb" mein istemal hua.. magar urdu'daan ye bhi mantay hein ke chonky qulfi rawaj pa gaya hai so asal lafz qufli na'maqbool hai.. yehi wajah hai ke lafz qulfi ko Feroz Sons mein shamil kiya ja chuka hai.. aap ne jo misalen mangi.. wo shayeri mein to filwaqt yaad nahi .. albata nasr mein to mojood hein.. aam istemal hoti hein aaj kal.. jaisay ke arbi zuban ka lafz mashkoor hai .. jis ka matlab banta hai.. jis ka shuker ada kiya gaya ho.. ya jis ne ehsaan kiya ho.. magar hamaray haan 90 feesad log.. isay lafz mamnoon ke maano mein istemal kertay hein.. aur ye rawaj pata ja raha hai .. so mere arz kernay ka maqsad ye hai ke .. is qisam ki ghaltiyan sirf aisay mahol ki wajah se hein.. jo ke humen mil raha hai .. shuru se aisa hi parhty aa rahay hein... jaisay ke lafz tota.. aap bhi jantay hein ke tey se hota hai magar hamaray nizam-e-taaleem mein.. sirf Toyen se likha jata hai .. jo ke 1639 mein "toti nama" mein istemal hua tha.. ab toyen walay tota ko rad kerna bohat mushkil hai wo apni jagah pa chuka hai.. lehaza ab sahi samjha jata hai aur lughat mein darj hai... kher baat kahan se kahan niklti ja rahi hai .. aap mera nukta-e-nazar bhi samajh gaye hon gey.. aur aap jo koshish ker rahay hein.. bunayadi tor per main us ke haq mein hon.. aur aap se itefaq kerta hon.. magar ye kuch haqayaq thay.. jo aap ko bataye.. warna agar ghaltiyaan dekhi jayen to shuter'gharba ki ghaltiyaa'n Ghalib, Meer, Altaaf Hussain hali jaisay shoara ke kalaam mein bhi milti hein.. kuch log isay mamoli doosray alfaaz mein jayez samjhty hein.. jabke kuch log isay sangeen ghalti jantay hein.. behar'haal dono soorton mein.. in shoara ki khush'qismati ke inki shairi ko radd nahi kiya gaya.. aur aap ne radd lafz durust istemal kiya tha.. main haqeeqat pasand hon.. jahan tak apa ka meri nazm jaisay misra likhny ki baat hai .. to kher.. ye to aap ki aazji hai aur kuch nahi .. warna aap bhi jantay hein haqeeqat kya hai .. aur agar nahi jantay to Ali Zubair ko parha kijiye.. misra banana aa jaye ga.. humen bhi aisay hi aaya.. kisi had tak.. baqi hum shayer thori hein.. wo kya kehtay hein ke..
Shayeri hai kisi ki farmayesh
mujh ko hergiz nahi kitab ka shoq
mundarja bala shair se aap misra banana jaan hi gaye hon gey..
Nawazish..
iradat'mand
Last edited by withlove; 25-04-2008 at 01:59 AM.
boht acha or tafseeli jawab parh kay utna hi acha laga jitna mufassil jawab tha..mera khiyal hay kay mazeed ilmi bahs ki gunja,ish nahi hay.
laikin ye baat main phir kahon ga kay tum jitna marzi haqeeqat pasand ban jaao,rad ka lafz boht ghalat tha..jis pr main sharamsaar hon! yaqeen karo wo rawani main likha gaya,, mozon ya ghair mozon ka lafz kahsakta tha...itna zuroor kahon ga kay nasar main imla amooman ghalat hi hota hay,magar sanad kay toar pr hamaisha sha,ir hi ki zuban mani jati hay... khair is pr ab kiya baat ki jaiy,,theek hay to bas theek hay!
tumhari mahrbani hay jo ye share yaad rakha,meri sha,iri to mitti main mil gae... main sha,ir nahi magar fun aashna zuroor hon,or achi tarha jaanta hon kay tumhara misra kitna pukhta or boalta huwa hota hay..ham to wesay hi idhar udhar kay puranay khiyalat pe share kah liya kartay thay,ab wo bhi nahi kah patay..tum ham say boht oonchay maqaam kay sha,ir ho!
very thanx with love