-
kofta baryani
Ajza:
Chawal 4 cup
Qeema 1 kg (bilkul bareek pisa hua)
Piyaz 4 adad
Dahi 1 piyali
Lehsun , adrak 1 tbsp
Sufaid zeera 1 tbsp
Til 1 tbsp
Badaam 2 adad
Khashkhash 1 tbsp
Kadukash nariyal 1 tbsp
Namak hasb-e-pasand
Cooking oil 1 cup
Tarkeeb:
Namak qeemay main mila kar dho lain phir sara paani qeema nichor kar nikaal lain . 2 piyaz lai kar sufaid zeeray samait qeemay main mila kar qeema pees lain aur aik taraf rakh dain . . Tamam masalhe pees lain . Saath nariyal aur badaam bhi pees lain aur in tamam ashiya ko dahi main mila kar rakh dain . Aik bartan main oil garam kar k baqiya 2 piyazon ko kaat kar is k sunehra hone tak tal lain . Ab is main dahi shamil kar k 5 se 10 mint tak bhoonain . Qeemay k hasb-e-pasand kofte bana lain aur dahi main mila kar dheemi aanch per itni dair pakain k kofte achi tarah gal jayen . Sath sath hilatey rahain . Yeh na ho k chipak jayen . Jab salan gaarha ho jaye to choolhe se utaar lain aur aik taraf rakh dain . Aik bartan main hasb-e-mansha paani daal kar ubaal lain dhuley chawal mila kar chawalon ko itna pakain k woh aik kanni reh jaye phir saara pani chaan kar aik bartan main pehle chawal phir kofte aur phir ooper chawalon ki teh lagaien . Ab 15 mint k liye yeh biryani dam per rakh dain . 15 mint baad baad kofta biryani tayyar hai .
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules