Rooth jaaney ki aadatain na gaee'n
Dil jalaaney ki aadatain na gaee'n
Zakhm kha kar bhi tujh se, naam tera
Gungunaaney ki aadatain na gaee'n
Pyar se jo bhi mil gaya uss ko
Dukh sunaaney ki aadatain na gaee'n
Chaand ki, sharam se naqaabo'n main
Munh chupaaney ki aadatain na gaee'n
Dou dilo'n ko ujaarh ke hasna
Ye zamaaney ki aadatain na gaee'n
Chand jaisa har ik hasee'n chehra
Dil ko lubhaaney ki aadatain nagaee'n
Beesiyon baar aazma ke humain
Azmaney ki aadatain na gaee'n
Raat ke pichley pehar ae ayaz
Ghar ko aaney ki aadatain na gaee'n