hum apne dard lafzoon ki zubani rakh nahi saktay
qalam ki nok par koi kahani rakh nahi saktay
muhabbat kar tu saktay hain ,humara almiya ye hay
kay hum tawaan main apni jawani rakh nahi saktay
humara ishq baala hay tumhari soch ki had say
koi kangan koi chori nishani rakh nahi saktay
muhabbat kainati sach hay , ye tasleem hay laikin!
zamee'n zaday hain, jazbay asmaani rakh nahi saktay
humain tu zard rut nay qaid kr rakha hay kuch aisy
koi umeed ankhon main sohani rakh nahi saktay
chalo kuch phool le ayain nayi khawahish ke mosam se
naye dalaan main yadain purani rakh nahi saktay
para hay waasta, amjad muhabat kay yazeedon say
yahan hum apni ankhon main b pani rakh nahi saktay