'Faiz', taqmiil-e-gham bhii ho na sakii
ishq ko aazmaa ke dekh liyaa
Raaz-e-ulfat chhupaa ke dekh liyaa
dil bohot kuchh jalaa ke dekh liyaa
aur kyaa dekhne ko baaqii hai
aap se dil laga ke dekh liyaa
wo mere hoke bhii mere na hue
unko apnaa banaa ke dekh liyaa
aaj unkii nazar mein kuchh hamne
sabkii nazarein bachaa ke dekh liyaa
'Faiz', taqmiil-e-gham bhii ho na sakii
ishq ko aazmaa ke dekh liyaa
aas us dar se tuuttii hii nahiin
jaa ke dekhaa, na jaa ke dekh liyaa
'Faiz', taqmiil-e-gham bhii ho na sakii
ishq ko aazmaa ke dekh liyaa
Very Nice
پھر یوں Ûوا Ú©Û’ درد مجھے راس Ø¢ گیا
Bohat acha intekhaab Sheem