Zeest hai haari hui baazi ki tarah

Rooh main utarnay lagi hai sard thakan

Yaas ki dhundh chaa rahi hai har soo

Barhnay lagi hai aankhon main jalan

Shehar-e-khwaab khaakastar honay kay qareeb

Ik udaasi hai har taraf madham madham

Bahaar par bhi khizaan ka ghumaan honay laga

Chalay bhi aao mere maseeha mere hamdam

Tum jo chalay aaoo to dil ka nagar raoshan ho

Dil-e-bhojal ko milay khushi-e-jawedaan

Taptay wujood ko saaya-e-abr milay

Shab-o-roz kehnay lagain nai dastaan

Zindagi ki raah Guzaaron par tum jo mere sang chalo

Chaand saath chalay
baad-e-saba saath chalay

Diyay Jalnay lagain
Denay lagain manzilon ka pata

Hayaat Gunn Gunaanay lagay
Tuu jo thaamay haath chalay