bewaja ashk chalak aaye meri aankhon se
jab sar-e-rah kabhi uss ne kaha, kaisay ho?
wahhhhh.. kya hi kehnay.. janab-e-zain.. aap ne iss baar bhi apna mayar barqarar rakha.. MashaAllah.. ab to khoobtar likhty hein aap.. iss kamyabi per dhairon daad-o-mubarakbaad hamari janib se bhi qabool kijiye.. Nawazish..
lafz ziya mein izafi hey aap ki nazron se ojhal reh gaya.. dekh lijiye ga..!!
wafa aur dua ke saath
withlove
bahot shukriya Bhahi ,aap ne apni riwaayat ko barqaraar rakhtey huye is baar bhi be intaha hosala afzaayi ki,
ji aap ne sahee nishaandahi ki hai,asal main inpage karney ke baad is ghalti ka aehsaas huwa tha,lekin phir susti ne kuch karney naheen diya,
bahot shukriya,itni tawajah deney,aor pazeeraayi ke liye,
bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
hmsha ki terha bht bht bht zbrdst likha hai
zahey naseeb,Mehar ji aayi haiN,
so bil aakhir aap ne POET CLUB ko bhi izzat bakhsh hi di,
woh aaye hamaari thread main Khuda ki qudrat hai
ham aankhain mal mal ke un ke reply ko dekhtey haiN
mazaaq bartarf,be intaha khushi huyi aap ko pc main,aor khaas tor se apni thread main dekh kar,
ghazal ki pasandeedagi aor hosala afzaayi ke liye be had mamnoon hoon,
umeed karta hoon ke aap yahaaN aati rahain gi,aor yeh hosala afzaayi yoonhi jaari rahey gi,
bahot khush rahiye,aabaad rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
Assalam-o-Alikum WR WB
Bhot umda Zain mujhy kum hi logo ka qalaam pasnd aata hay nay likhny walo main say per khushee hay un mai say aik aap ho rahy ho
FeamnAllah
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN