Mosiqi(Music) se hamain tab se lagao hai...jab hum naye naye hostel main aye the...lagao ki waja yeh thi ke waha bath room ki kundiyan nahi thi...so nahate waqt hamain musalsal gate rehna parta tha...take bahir walo ko pata chulta rahe ke under koi hai...hostel ka pani bhi mousam ke mutabik hota tha...yanee gurmiou main garam or surdiou main surd...so ise hisab se sur bhi nikalte the...ager gurmiou main aik dum garam pani ajata tu...acha bhala Alim gheer yuk dum Aysa khialwi bun jata...ustad Nusrat Fateh Ali khan(Murhoom) kehte the... " Mere baap ki khawaish thi ke mian roo bhi surro main...agar main surr main na rota tu dant parti thi"...Mehndi Hassan saheb tu aisa surr mai rote ke walidain chup karane ki baajaye...inhe sun`ne bhet jate...ise tarah hamare aik pop singar koi jab phele gane ke ewaz producer ne 20 rupee deye tu wo bole..."Producer saheb ! is se zaida tu meri walida mujhe chup karane ke dete hain".
Dr Yonus Butt ki kitab ~*~Mizah Pursi~*~ se Iqtebas