ohh achha,chalain koyi baat naheen,ho jata hai,
matla....aap ne poochha ham 2 ya aek se ziyada matla kiyoon likhtey hain,
dekhain is ki koyi khaas wajah naheen hai,aor na hi koyi paabandi hai,ghazal kehtey huye(likhtey huye),ba.az aoqaat alfaaz ki tarteeb aesi ban jaati hai ke matla ke ba.ad ka sher bhi matla jesa ho jata hai,
is baat ko yahaan bataaney ka maqsad sirf yeh hai ke ghazal main yeh koyi paabandi naheen hai ke bas aek hi matla ho,agar aek se ziyada matla bhi hon to yeh koyi ghalti ya aib naheen hai,so aap jitney marzi matla likho,
agar uljhan barqaraar rahey to dubara se poochh lijiye ga,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
silsila pasand karney,aor hosala afzaayi ke liye shukriya
hard lag raha hai? to mujhey bataayain na,main yahaan issi liye hoon ke jo baat mushkil lagey,samajh na aaye,us ka hal bataoon,aor jahaan tak mumkin ho,us ko aasaan tareeqey se samjhaoon,
aap ki is mushkil ka ,ke yeh sab yaad naheen ho raha,aasaan sa hal hai merey paas aor woh yeh ke.......
aap is ko yaad hi na karain, ho gaya na masla hal?
aap is ko yaad na karo,balke is ko aahista aahista paRo,aor samajhney ki koshish karo ke ghazal aor qitta main kaya farq hai,qitta aor rubaayi main kaya farq hai,etc etc
aor agar kuchh mushkil paish aaye,ya samajh main na aaye to mujh se poochh lo,
basss itna sa hi kaam hai.
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
mazmon likhne ki zarorat nahi...raat maine bhot tahamul se bhot aram se sub phir parha hia...kafi had tak samaj aya hai...
wah jee kitne ache Teacher hian Mehar tum tu tora bhot likh bhi lete ho jo log bilkul anjaan hian shairi se inke liye tu mushkil hoga tumhare liye nahi..koshish karo ssamjhne ki sub samaj ajaye ga...aik aik karke dekho sub zarori nahi sub aik sath karo..phele dekh lo rubaye kiya iske bad baki chezain...hamain koi jalid nahi hia,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
jee umeed tu yehe hai ke samaj ajaye werna ap ka ghutna hiana
baat sirf itni si hai ke bandey ko agar kuchh haasil karna ho to phir us ke liye sachey dil se,aor shoq se,lagan se koshish karni chaahiye, phir baaqi sab INSHA ALLAH achha hi hota hai,
wesey merey ghutney main aek aor tarqeeb aa to rahi hai,in asbaaq ko kuchh aor aasaani se samajhney aor seekhaney ki,lekin us main mujhey un tamaam members ka poora ta.aawun chaahiye,jo waaqayi main seekhana chaahatey hain,us main phir time ki pabandi bhi karni ho gi,agar sab raazi hon,aor time de sakain to main woh shuru kar doon?mujhey yaqeen hai ke us se kaafi aasaan ho jaaye ga is ko samajhna aor yaad karna,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
Assalam-o-ALikum WR WB
bhot shukriya zain , drasal ya wo bareeki sawalat hay jin ka jana bhot zaroori hota hay aur mai urdu abhi seekhi hay isi liya aap say hazaro sawalat karta hoon
Khush rahya
FeamnAllah
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN