1), matla kissey kehtey haiN?
pehley shair ke dono misrey hum Qafia hote hain.jise Matla kha jata hai.
Misal Ke Tor Per yeh
Teri Nazar Ne Hamain Kis Qadar Kharab Kiya
Ke Humne App He Apna Safar Kharab Kiya
Jo Kum Nazar Hain Hamain In Pe Aiteraz Nahi
Hamai Tu Ap ne Ahl-e-nazar Kharab Kiya
bilkul theek,
is main aek cheez aor shaamil kar lain,agar ghazal ke phely sheir ke donon misrey ham qaafiya naheen honge jesey ke agar yeh sheir ghazal ka pehla sheir ho.....
Jo Kum Nazar Hain Hamain In Pe Aiteraz Nahi
Hamai Tu Ap ne Ahl-e-nazar Kharab Kiya
to phir is ko matla naheen kahain ge,balke yeh pehla sheir ho ga,
2), maqta kissey kehtey haiN?
Ghazal ke akhri shair ko maqta kha jata hai. leken aik baat pochni hia agar shair ne apna Takhlus istemal nahi kia phir bhi wo Maqta he haina ? kuke zarori nahi hota her ghazal main shair apna Takhalus istemar karain.
kuke aik ghazal ka akhri shair yeh hai yeh maqta he hoga na ?
Tumhara dil kabhi pighley agar ghum ki hararat se
Tumhe malom hojaye ga rona kis ko kehte hian
naheen,is ko maqta naheen kahain ge,balke aakhari sheir kahain ge,
aik misal
Ya tu
jazib koi de jaye isey zoq-e-sukhan
ya koi mujh se yeh Ashfta sari le jaye
yeh sheir agar ghazal ke aakhir main ho ga to yeh maqta kehlaaye ga,
or ghazal ke bech main agar shair apna Takhalus istemal karai tu kiya ise bhi maqta kha jaye ga ?
ghazal ke aakhari sheir ke ilawa,kissi bhi sheir ko maqta naheen kahain ge,be shak shaair ne apna naam,ya takhalus istamaal kiya ho,maqta sirf aakhri sheir hi hota hai,aor woh bhi tab,jab shaair ka naam/takhalus bhi ho us main,
3), zameen-e-ghazal kis ko kehtey haiN?
Is sawal ki waise mujhe sahe samaj nahi aye..jis ghazal main qafia,.radef or bahr hon inko zameen-e-ghazal kehte hain kiya ?
phir tu her ghazal main he aisa hota hai phir
her ghazal he zameen-e-ghazal hue kiya
zameen-e-ghazal, radeef,qaafiya,aor ghazal ki behar/wazn ke majmooi naam ko kehtey hain,jesey ke aap ne jo ghazal neechey likhi hai,main bhi ussi tarah ki aek ghazal kahoon,jis ka radeef,qaafiya aor behar bilkul yahi ho,to main kahoon ga ke main ne falaaN ghazal ki zameen par yeh ghazal kahi,
umeed hai baat samajh gayi ho gi aap,na samajh aaye to phir se poochh lijiye ga,
4), ghazal main kam se kam,aor ziyada se ziyada kitney sheir ho saktey haiN?
kam se kam 5 or zaida se zaida 23.misal 4 ki bhi milti hia.
good,shabaash.
5), ghazal,aor musalsal ghazal main kaya farq hai?
ghazal main her shair aik alag mazmon hota hai jab ke musalsal ghazal main ashar ka aik dosre se taluk hota hai.
sahi,
main yeh pochna chahti hon ke kiya yeh ghazal Musalsal ghazal hai ?
naheen,yeh ghazal musalal ghazal naheen hai,musalsal ghazal main har sheir kissi aek khaas mazmoon ke taabe hota hai, jab ke is ghazal main har sheir ka apna alag mazmoon hai,
Main ap ki sub se zaida nalaiq shagird hon
bus time ki qilat hai werna parhe ka dil bhot hai
aj bari mushkil se ate he sub se phele yehe aye hon ke yeeh karlon..sorry