Quote Originally Posted by Bheegi-Palkain View Post
Assalam-o-Alikum WR WB

Sorry sorry .... pata nahi kya likh diya ... mai Mtala k bary mai kha tha sorry

FeamnAllah
ohh achha,chalain koyi baat naheen,ho jata hai,
matla....aap ne poochha ham 2 ya aek se ziyada matla kiyoon likhtey hain,
dekhain is ki koyi khaas wajah naheen hai,aor na hi koyi paabandi hai,ghazal kehtey huye(likhtey huye),ba.az aoqaat alfaaz ki tarteeb aesi ban jaati hai ke matla ke ba.ad ka sher bhi matla jesa ho jata hai,
is baat ko yahaan bataaney ka maqsad sirf yeh hai ke ghazal main yeh koyi paabandi naheen hai ke bas aek hi matla ho,agar aek se ziyada matla bhi hon to yeh koyi ghalti ya aib naheen hai,so aap jitney marzi matla likho,
agar uljhan barqaraar rahey to dubara se poochh lijiye ga,