-
Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.
Assalamo-Alekam!
1. fard kis ko kehtey hein?
Fard mein sirf aik he baiyat kahi jaati hai..yehni kay sirf aik shair
Aik mukhtasir nazam hoti hai..jo aik say zaida ashar ki muhtaaj nahi hotiso is kay agay peechay koi misra nahi hota. Tou is lehaaz say fard mein dou misray hotey hein
2. Kia ghazal mein FARD ho sakta hai?
Is kay baray hamein sure nahi hai
Lekin aap kay mazmoun kay hawalay say jou hamein samjh ayee hai.us mein yeh kaha gaya hai kay.ghazal kay kise aik shair per fard ka atlaaq nahi hota
(isay zara asan lafzon mein hamein samjha dijeay ga please)
3. Radeef kis ko kehety hein?
radeef pehlay misra kay akhri dou lafz
aur dosray misra ka akhri dou lafzon ko kehtey hein( donon aik jaisa maani rakhtey hein)
yehni kay dono aik jaisay hotey hein
eg. Kerna hai.so dono misron kay akhri dou lafz kerna hai.hon gey...tou phir yeh radeef kehlayey ga.
4. qafiya kis ko kehety hein?
qafiyaradeef say pehlay jo lafz hota hai usay qafiay kehtey hein.basherte-kay wohh.i really dont know kay unehin kia kehtey hein
lekin kuch examples say apni baat clear karety hein
for instance.kerna, bharna, merna, waghera waghera..jaisay lafz honay chiaye in order for them to e qafiya.
Zain Sahab asal mein hamaray pass waqat ki bohat kami hoti hai, ise liye hum ziada time nahi day patay.lekin thora bohat jou bhi ho sakta hai, hum apni pori effort kertey hein. so, hope kay ziada dant nahi parey gi
Jazak ALLAH for giving your time and effort.
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules