Quote Originally Posted by zeest View Post
ok jee abb aaj k sawalon k jawab

1), matla kissey kehtey haiN?
Ghazal k pehlay shair ko matla kaha jata hai .. jis main pehla aur doosra shair ham qafiya hotay hain

2), maqta kissey kehtey haiN?
ghazal k akhri shair ko jis main shaiar apna naam istimaal karta hai ussay maqta kehty hain
3), zameen-e-ghazal kis ko kehtey haiN?
ghazal main radeef , qafiya , aur wazan (beher) k majmooi naam ko zameen-e-ghazal kehtay hain
4), ghazal main kam se kam,aor ziyada se ziyada kitney sheir ho saktey haiN?
Ghazal main kam say kam 5 aur zayada say zayda 23 shair hotay hain ...
5), ghazal,aor musalsal ghazal main kaya farq hai?


ghazal k har shair main mukammal mazmoon hota hai .. yani har shair ka mazmoon doosray shair say alag hota hai .. jab k musalsal ghazal main pehlay shair say akhri shair tak aik tasulsul ya rabt hota hai ... matlab poori ghazal ka aik hi mazmoon hota hai

Ya Allah aik baar phir khair karna
bahot khoob Zeest saahiba,aap ne bilkul sahi jawabaat diye hain,inaam ke tor par aap ko class se baahir nikala jata hai,
mazaaq bartarf,......shabaash,khushi huyi ke meri mehnat raaigaaN naheen gayi,
bahot khush rahiye,aor mehnat jaari rakhiye,