boht hi acha qadam uthya hay zain..dil khush hogaya! janab aap kay shagird no aik ham hogaiy...ustaad ji nazr e karam kijiye ga
boht hi acha qadam uthya hay zain..dil khush hogaya! janab aap kay shagird no aik ham hogaiy...ustaad ji nazr e karam kijiye ga
Asalam.o.ALaikum Ustad-e-Mohtram
sukur hai abhi koi nahi aya ...sakoon hia jabhe ...werna her jaga shor he hota hai.
Ustad jee...Fard tu 2 misrey hue ...ap ne is mian nazam ko shamil nahi kiya ?
Fard ko hum nazam nahi kahain gia na ?
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
WALEKUM ASLAAM,
samajhney ki baat hai ke FARD aek alag sinf hai,is ka kissi bhi aor sinf se koyi ta.aluq naheen,albata is ki shakl sheir se milti hai.lekin mizaaj naheen.
nazam ko is mazmoon main shaamil na karney ki 2 wajohaat hain,...
1) nazam apna aek mukhtalif mizaaj rakhti hain, aor is ki bahot si iqsaam bhi hain,jin ko samajhna bahot zaroori hai.
2) agar nazam ko bhi is mazmoon main shaamil kiya jaata to mazmoon be had taweel ho jaata,aor phir issey samajhna bhi mushkil hota.
issi liye main ne socha ke nazam ko agley mazmoon main tafseel se bayaan karna chaahiye,ta ke nazam ki iqsaam,aor mizaaj ko bakhoobi samjha ja sakey.
mazeed kuchh poochhana chaahain to main haazir hoon.
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
jee ustad jee ap ne sahe kha...asal main hum koi aise Shair dhond rahe hain..jo ap ko dikhaye or app phir hamain batayain ke Yeh FARD He hai...leken abhi tak hum nakaam hian dhondne main..agar ap ke pass or aise ashar ka khazana jo FARD hon tu zaror batayain.takey hamian andaza ho.
or pochai gai zaror poche gai jo bhi samaj na aya.bar bar jab parhe gai is mazmon ko jo baat samj na aye poch lai gai .InshAllah.
aahhh meri ma.asoom shaagirda,kin museebaton main paR gayi,
lagta hai main apni baat sahi tarah se samjha naheen paaya,
achha na...... samjhata hoon phir se,......fard ko dhoondana to chhoro,
dekho,fard ko dhoondaney ki naheen,samajhney ki zaroorat hai,ke fard kaya hota hai,ta ke kal ko jab tum khud likho to tumain pata ho ke tum ne jo likha hai,woh kaya hai,yehni us ko kaya kehtey hain,aaya woh sheir hai,ghazal hai,qitta hai,rubaayi hai,ya phir fard.
is ki pehchaan aek aor andaaz main karata hoon,umeed hai ke baat samajh main aa jaaye gi,
jab ham koyi ghazal,nazam,qitta,waghera kehtey hain to us main bahot se ash.aar hotey hain,ya kam az kam 2 sheir to laazami hotey hain,lekin kabhi kabhi aesa bhi hota hai ke ham sirf aek hi sheir kehtey hain,jis main ham woh sab keh detey hain,jo hamain kehna hota hai,aor us ke ba.ad hamain us ke saath mazeed sheir kehney ki zaroorat naheen rehti,ya ham naheen kehtey,to woh akela sheir Fard kehlaata hai,
bilkul aesey hi jesey ham aek hi zameen main kuchh ash.aar kehtey hain to kehtey hain ke ham ne yeh ghazal kahi,
ya agar qitta ke kuchh sheir kehtey hain to,doosaron ko bataatey hain ke ham ne yeh qitta kaha,
issi tarah jab ham kissi zameen main sirf aek,waahid,tanha sheir kehtey hain to us ke istalaahi naam ke hawaaley se ussey fard kahain ge...........(warna shakl ke aetabaar se sheir aor fard itney ham shakl hain ke pehchanana mushkil hai ke jo sheir ham paR rahey hain,aaya woh fard hai,ya kissi ghazal,qitta,ya nazam ka hissa).
baat samajh main aayi ke naheen aayi,agar naheen aayi to phir se poochh sakti ho,
Last edited by ishtiaq zain; 17-04-2008 at 12:47 AM.
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
Assalamo-Alekam!
yeh hum kia dekh rahey hein........hum yahan naa atay....tou hamein kise nay batanay ki zehmat he gawara nahi kerni thi kay class shuro ho gaye hai.......hum per shad'e marg ka doura parnay wala tha.......
aur zindagi mein hum pehli baar kitnay pal he ankehin kholay yak tak dekhtay rahay.........
khair.....itni achi class shuro karnay per dherooooooooooooooooooooooo shukriyassssssssssssss Usatd Zain Sahib!
ab tou hum nay dou dou classon mein dakhla lay liya hai
lekin hamara masal yah hai kay hum 8 ghantay school mein hotay hein.....aur net per hum sirf haftay kay 5 dino mein ziada say ziada 1 ghanta atay hein....tou yeh sabq kafi ghour talab hota hai...tou kia aap is ko thora sa chota ker dein gay........min'mina kar iltijaa kartay hein hum!
Jee zain ab mujhe baat samaj agaye hai...yehe chez main soch rahe hon ke shair or fard aik jaise hote hain.is he waja se uljah gaye thi ab samaj bilkul sahe tarah agaye hai..waise aik bar maine aik shair likha tha jo sirf aik akela he hai ...zara app bataye gai yeh shair hia ya Fard kuke maine sirf aik he likha tha. yeh dekhye