Page 4 of 11 FirstFirst ... 23456 ... LastLast
Results 31 to 40 of 103

Thread: Shairy seekhiye,sabaq 1.

  1. #31
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Quote Originally Posted by Bheegi-Palkain View Post
    Assalam-o-Alikum WR WB

    Sorry sorry .... pata nahi kya likh diya ... mai Mtala k bary mai kha tha sorry

    FeamnAllah
    ohh achha,chalain koyi baat naheen,ho jata hai,
    matla....aap ne poochha ham 2 ya aek se ziyada matla kiyoon likhtey hain,
    dekhain is ki koyi khaas wajah naheen hai,aor na hi koyi paabandi hai,ghazal kehtey huye(likhtey huye),ba.az aoqaat alfaaz ki tarteeb aesi ban jaati hai ke matla ke ba.ad ka sher bhi matla jesa ho jata hai,
    is baat ko yahaan bataaney ka maqsad sirf yeh hai ke ghazal main yeh koyi paabandi naheen hai ke bas aek hi matla ho,agar aek se ziyada matla bhi hon to yeh koyi ghalti ya aib naheen hai,so aap jitney marzi matla likho,
    agar uljhan barqaraar rahey to dubara se poochh lijiye ga,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  2. #32
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Quote Originally Posted by naz View Post
    yeh hue na baat ise tention main tu thi main ke yeh phir fard hai
    jee yeh aik akela he hai .or Fard he hai..thanku uncle
    shukar hai tumain samajh aa gayi,warna main soch raha tha is par bhi aek mazmoon likh hi DaalooN,
    u r most welcome beiTa jee.
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  3. #33
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Quote Originally Posted by ~*~Mehar~*~ View Post
    zain ji really nice vrk

    and vry vry usefull

    thnkx aloooot

    bt mujy stilll bht hi hrd lagra hai iss sab ko yaad rakhna

    silsila pasand karney,aor hosala afzaayi ke liye shukriya
    hard lag raha hai? to mujhey bataayain na,main yahaan issi liye hoon ke jo baat mushkil lagey,samajh na aaye,us ka hal bataoon,aor jahaan tak mumkin ho,us ko aasaan tareeqey se samjhaoon,

    aap ki is mushkil ka ,ke yeh sab yaad naheen ho raha,aasaan sa hal hai merey paas aor woh yeh ke.......
    aap is ko yaad hi na karain, ho gaya na masla hal?

    aap is ko yaad na karo,balke is ko aahista aahista paRo,aor samajhney ki koshish karo ke ghazal aor qitta main kaya farq hai,qitta aor rubaayi main kaya farq hai,etc etc
    aor agar kuchh mushkil paish aaye,ya samajh main na aaye to mujh se poochh lo,
    basss itna sa hi kaam hai.
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  4. #34
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    mazmon likhne ki zarorat nahi...raat maine bhot tahamul se bhot aram se sub phir parha hia...kafi had tak samaj aya hai...

  5. #35
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    wah jee kitne ache Teacher hian Mehar tum tu tora bhot likh bhi lete ho jo log bilkul anjaan hian shairi se inke liye tu mushkil hoga tumhare liye nahi..koshish karo ssamjhne ki sub samaj ajaye ga...aik aik karke dekho sub zarori nahi sub aik sath karo..phele dekh lo rubaye kiya iske bad baki chezain...hamain koi jalid nahi hia,

  6. #36
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Quote Originally Posted by naz View Post
    mazmon likhne ki zarorat nahi...raat maine bhot tahamul se bhot aram se sub phir parha hia...kafi had tak samaj aya hai...


    shabaash,mujhey yaqeen tha ke tum mera naam zaroor roshan karo gi,

    is ko seekhaney,aor samajhney ka tareeqa hi yahi hai ke is ko aaraam aaraam se,ta.hamal se,samajhtey huye paRa jaaye,baar baar paRney se har baat,har cheez bahot aasaani se samajh aa jaaye gi INSHA ALLAH.
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  7. #37
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    jee umeed tu yehe hai ke samaj ajaye werna ap ka ghutna hiana

  8. #38
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Quote Originally Posted by naz View Post
    jee umeed tu yehe hai ke samaj ajaye werna ap ka ghutna hiana
    baat sirf itni si hai ke bandey ko agar kuchh haasil karna ho to phir us ke liye sachey dil se,aor shoq se,lagan se koshish karni chaahiye, phir baaqi sab INSHA ALLAH achha hi hota hai,

    wesey merey ghutney main aek aor tarqeeb aa to rahi hai,in asbaaq ko kuchh aor aasaani se samajhney aor seekhaney ki,lekin us main mujhey un tamaam members ka poora ta.aawun chaahiye,jo waaqayi main seekhana chaahatey hain,us main phir time ki pabandi bhi karni ho gi,agar sab raazi hon,aor time de sakain to main woh shuru kar doon?mujhey yaqeen hai ke us se kaafi aasaan ho jaaye ga is ko samajhna aor yaad karna,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  9. #39
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    2,050
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    33 Thread(s)
    Rep Power
    4498041

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Assalam-o-ALikum WR WB

    bhot shukriya zain , drasal ya wo bareeki sawalat hay jin ka jana bhot zaroori hota hay aur mai urdu abhi seekhi hay isi liya aap say hazaro sawalat karta hoon

    Khush rahya

    FeamnAllah

  10. #40
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Quote Originally Posted by Bheegi-Palkain View Post
    Assalam-o-ALikum WR WB

    bhot shukriya zain , drasal ya wo bareeki sawalat hay jin ka jana bhot zaroori hota hay aur mai urdu abhi seekhi hay isi liya aap say hazaro sawalat karta hoon

    Khush rahya

    FeamnAllah
    WALEKUM ASLAAM,
    aap bilkul theek kehtey hain,kissi bhi cheez ko samajhney ke liye us ke tamaam pehloo dekhney chaahiye,
    janaab hazaaroN kaya,laakhoN sawaal kijiye,main INSHA ALLAH hamesha haazir hoon,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


Page 4 of 11 FirstFirst ... 23456 ... LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •