master ji
mein nay aik rubai likhi hai, mager mujhay wo kuch gadd madd si lagti hai
matlab usski tarteeb mujhay sahi nahi lag rahi
ager mein yaahan share karon plz usski tas'he karnay mein madad daien gay?
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
ASLAAM O ALEKUM,
kesey haiN sab? umeed hai bakheir honge,
baRey afsos ki baat hai,main ne kab se,aap sab se aek sawaal poochha tha,lekin kissi ne bhi abhi tak us par kuchh naheen kaha,
phir se apni baat dohraata hooN,...........
jesa ke aksar saathi yeh keh rahey haiN,ya un ki post se aesa lag raha hai,ke yeh sab yaad rakhna un ke liye mushkil ka baahis ban raha hai,to issi mushkil ke hal ke tor par merey zehan main yeh khayaal aaya hai ke kiyoon na koyi aesa tareeqa ikhtiyaar kiya jaaye,jis se yeh sab yaad karna,aor yaad rakhna aasaan ho jaaye,
tareeqa yeh hai ke main aap se har roz kuchh sawaal kiya karoon ga,(jin ke jawabaat merey is mazmoon main mojood hain,) aap ko karna bas yeh hai ke mazmoon ko paR ke,un main se un sawaaloN ke jawaab dhondana hain,aor phir yahaan likh dena hai,( yaqeen kijiye jo baat is waqt aap ko bahot mushkil lag rahi hai,be had aasaan ho jaaye gi,),
so aap sab ki is baarey main kaya raaye hain,jaldi se yahaan aa kar bataaiye,ta ke is silsiley ko aagey baRaya ja sakey,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
idea acha hai master ji
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
Assalam-o_Alikum WR WB
Mazrat zain meri nazar nahi parhi thi aap k sawal mai
Mai to balky aaj ya kahany aya tha k next class kab shuru kar rhy hy per chaly koi baat nahi hy ... sab ko saath lay kar hi aagay barhna hay , aap sawal karya INSHALAH jawab dey gy acha hy revision ho jay ga
FeamnAllah
WALEKUM ASLAAM.
tawajah deney ka shukriya MASTER ji, koyi baat naheen,deir aaye,darust aaye,
main to chaah raha tha ke issi haftey agla tutorial post ho jaata,lekin agar saathiyoN ko samajh hi na aaye,aor ham aagey baR jaaye to phir is ka kuchh maqsad hi naheen rahey ga,issi liye socha ke sawaal jawaab ka silsila shuru kiya jaaye,aek to yeh pata chal jaaye ga ke kis ko kitna samajh aaya hai,doosara agar kissi ko kuchh mushkil paish aa rahi hai to us ki madad bhi ho jaaye,
jab yeh mazmoon sab ko (qaabil-e-qabool had tak) samajh aa gaya to phir INSHA ALLAH agla mazmoon post kar diya jaaye ga,
tab tak aap bhi aatey jaate rahiye,hissa letey rahiye,
bahot shukriya,bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN