ASLAAM O ALEKUM,
Bheegi-Palkain aor Hijab saahiba,aap ke reply dekh chuka hoon,baaqi doston ke reply bhi aa jaayain to phir aek saath sab par tabsara karoon ga,aor saath hi agley sawaal bhi doon ga,
wesey yeh baaqi awaam gayi kahaaN
Assalamo-Alekam!
1. fard kis ko kehtey hein?
Fard mein sirf aik he baiyat kahi jaati hai..yehni kay sirf aik shair
Aik mukhtasir nazam hoti hai…..jo aik say zaida ashar ki muhtaaj nahi hoti…so is kay agay peechay koi misra nahi hota. Tou is lehaaz say fard mein dou misray hotey hein
2. Kia ghazal mein FARD ho sakta hai?
Is kay baray hamein sure nahi hai
Lekin aap kay mazmoun kay hawalay say jou hamein samjh ayee hai….us mein yeh kaha gaya hai kay…….ghazal kay kise aik shair per fard ka atlaaq nahi hota
(isay zara asan lafzon mein hamein samjha dijeay ga please)
3. Radeef kis ko kehety hein?
radeef pehlay misra kay akhri dou lafz
aur dosray misra ka akhri dou lafzon ko kehtey hein( donon aik jaisa maani rakhtey hein)
yehni kay dono aik jaisay hotey hein
eg. Kerna hai….so dono misron kay akhri dou lafz kerna hai.hon gey...tou phir yeh radeef kehlayey ga.
4. qafiya kis ko kehety hein?
qafiya……radeef say pehlay jo lafz hota hai usay qafiay kehtey hein….basherte-kay wohh….i really don’t know kay unehin kia kehtey hein
lekin …kuch examples say apni baat clear karety hein
for instance……….kerna, bharna, merna, waghera waghera..jaisay lafz honay chiaye in order for them to e qafiya.
Zain Sahab asal mein hamaray pass waqat ki bohat kami hoti hai, ise liye hum ziada time nahi day patay…….lekin thora bohat jou bhi ho sakta hai, hum apni pori effort kertey hein. so, hope kay ziada dant nahi parey gi
Jazak ALLAH for giving your time and effort.
ASLAAM O ALEKUM,
Bheegi-Palkain aor Hijab saahiba,aap ke reply dekh chuka hoon,baaqi doston ke reply bhi aa jaayain to phir aek saath sab par tabsara karoon ga,aor saath hi agley sawaal bhi doon ga,
wesey yeh baaqi awaam gayi kahaaN
Last edited by ishtiaq zain; 25-04-2008 at 07:23 AM.
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
Asslam-o-Alaikum Ustaad jee
aap ki nalaiq shagird hazir hai .. aap k diye gaye salwalon k jawab dainy ki koshish karti hoon ( Ya Allah mery kaano ki hifazat karna )
1) fard main kitney misrey hotey hain?
fard main sirf do misray yani aik mukaml mazmoon ka shair hota hai ... jis say pooray mazmoon ka matlab wazay ho raha hota hai
2), kaya ghazal ke kissi sheir ko FARD keh saktey hain?
Fard aik muktasir nazm ko kehtay hain jo mazmoon ki takmeel k liye mazeed ashaar ki mohataaj nai .. iss liye kisi ghazal k shair ko fard nai keh sakty kion k fard k liye qafiya aur radeef zaroori nai hoaty ...
3), radeef kis ko kehtey hain?
radeef shair k doosray misray k akhri lafz ko kehtay hain .. ghazal k pehlay do ashaar main radeef hota hai jissay matla kaehtay hain .. lakin baki ghazal k har shair k misra sani main radeef hota hai...
4) qaafiya kis ko kehtey hain?
qafia radeef say foran pehlay hota hai .. jaisaay
Jab say janam tum sitam gar ho gaye
ashak aankhon ka muqadar ho gaye
iss shair main GAR aur DAR qafiya jab k HO GAYE radeef hai
Umeed hai k main nain sahi sahi jawab diye hain .. baki Zain k ataab say Allah bachay mery kaan khainch k itnay lamby kar dain gay k razai ki zarorat nai pary gi ) baqol zain k )
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
WALEKUM ASLAAM,
aap ke sabhi jawabaat sahee hain,v good
lekin itni Dari Dari kiyoon ho aap? zara khul ke,yaqeen aor aetamaad ke saath jawaab do,MASHA ALLAH zaheen ho aap,
aor haaN,koshish karo ke jawaab apne andaaz,aor apne alfaaz main likho,is se,baat ko samajhney aor yaad rakhney main madad milti hai,
neechey inhi sawaalon ke jawaab,main khud bhi likhoon ga,un ko aek baar phir se paRna,
time ka koyi masla naheen hai,jitna time bhi aap aasaani se de sako,theek hai,lekin....yahaan har roz haazari dete rehna hai,ta ke hamain bhi pata chalta rahey ke aap class main aa rahi ho,
aor plz yeh Zain saahib kehna ab chhor do,bahot ho gaya,mujhey is tarah ke alqabaat achhey naheen lagtey,wesey bhi ajnabi honey ka aehsaas dilaatey hain yeh.
bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
WALEKUM ASLAAM,nalaaiq shaagirda,
sabq sahee se yaad na karna,ALLAH se muaafi maangatey rehna,
khush ho jao,aap ke sabhi jawabaat theek hain,aor aap ke kaan is baar bhi bach gaye,shabaash,
bas........ab ziyada khush naheen hona,agla sabaq bhi yaad karna hai,
bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
ina mushkil lesson..
SD ki Basanti
Chal DhanoOo
I Love the feelings When U Hold My Hand....
ASLAAM O ALEKLUM,
diye gaye 4 sawaalon ke jawabaat main khud se yahaan likh raha hoon,ta ke baat mazeed waazeya ho jaaye,aor agar koyi shubah ho to door ho jaaye,
1, fard kissey kehtey haiN?
fard ,aek waahid,tanha sheir ko kehtey hain,jis se pehley ya baad main aor koyi sheir ya misra naheen hota.
2, kaya ghazal ke kissi sheir ko fard keh saktey hain?
naheen,fard choonke aek,tanha sheir ko kehtey hain,aor ghazal main aek se ziyada sheir hotey hain, ,is liye ghazal ke kissi sheir ko fard naheen kaha ja sakta.
3, radeef kissy kehtey haiN?
radeef ke lughwi ma.ani hain,peechhey ki faoj,,ghazal,qaseeda waghera main radeef se muraad,woh alfaaz hain,jo misroN ke aakhir main,qaafiya ke baad baar baar aayain.
4, qaafiya kissey kehtey haiN?
qaafiya ka lughwi matlab bhi,peechhey aaney waala,ke haiN,
ghazal,qaseeda waghera main,radeef se foran pehley ke alfaaz ko qaafiya kehtey haiN.
umeed hai baat waazeya ho gayi ho gi,aor agar kuchh uljhan thi bhi to woh door ho gayi ho gi,
bahot khush rahiye.
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
yeh mushkil hai?
arrey itna aasaan to hai,do,chaar baar ghor se parney par sab samajh main aa jaata hai,
aor phir agar kuchh mushkil hai bhi to ham kis liye hain,hamain bataayain kaya mushkil hai,aor kahaan,ussey aek sec main aasaan kar dain ge,
kuchh paaney ke liye,kuchh to mehnat karna hi parti hai,
bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN