Page 9 of 11 FirstFirst ... 7891011 LastLast
Results 81 to 90 of 103

Thread: Shairy seekhiye,sabaq 1.

  1. #81
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Quote Originally Posted by zeest View Post
    ok jee abb aaj k sawalon k jawab

    1), matla kissey kehtey haiN?
    Ghazal k pehlay shair ko matla kaha jata hai .. jis main pehla aur doosra shair ham qafiya hotay hain

    2), maqta kissey kehtey haiN?
    ghazal k akhri shair ko jis main shaiar apna naam istimaal karta hai ussay maqta kehty hain
    3), zameen-e-ghazal kis ko kehtey haiN?
    ghazal main radeef , qafiya , aur wazan (beher) k majmooi naam ko zameen-e-ghazal kehtay hain
    4), ghazal main kam se kam,aor ziyada se ziyada kitney sheir ho saktey haiN?
    Ghazal main kam say kam 5 aur zayada say zayda 23 shair hotay hain ...
    5), ghazal,aor musalsal ghazal main kaya farq hai?


    ghazal k har shair main mukammal mazmoon hota hai .. yani har shair ka mazmoon doosray shair say alag hota hai .. jab k musalsal ghazal main pehlay shair say akhri shair tak aik tasulsul ya rabt hota hai ... matlab poori ghazal ka aik hi mazmoon hota hai

    Ya Allah aik baar phir khair karna
    bahot khoob Zeest saahiba,aap ne bilkul sahi jawabaat diye hain,inaam ke tor par aap ko class se baahir nikala jata hai,
    mazaaq bartarf,......shabaash,khushi huyi ke meri mehnat raaigaaN naheen gayi,
    bahot khush rahiye,aor mehnat jaari rakhiye,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  2. #82
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Quote Originally Posted by Bheegi-Palkain View Post
    Assalam-o-Alikum WR WB ,
    WALEKUM ASLAAM,

    Jo shaks aik lafz sikha dey wo Ustad ka drja rakhta hay , Ustad honay k liya Umar ki Qaid nahi hay aur mery liya her wo shaks ustad hay jo kuch sikha dey .
    aap ne jo baat kahi,bilkul theek kahi,lekin main apne liye yeh baat tasleem naheen karta,merey khayaal main ustaad ka bahot baRa muqaam hota hai,aor mujh sa nacheez us muqaam tak pohanchana to door,us ke baarey main soch bhi naheen sakta,

    Jawabat :

    Matla jo mai nay parha hay lafz Taloo sy nikla hay yani Shuraat ,yani Taloo hona ,
    Ghazal mai jo pahla shair hota hay , us ko Matla khaty hay ji smai qafiya aur radeef dono hi misro mai paya jata hay .
    bilkul darust,
    is main yeh bhi add kar lain ke agar donon misrey ham qaafiya naheen honge to phir woh,matla naheen kehlaaye ga,balke us ko pehla sheir kahain ge.

    Maqta us aakhir Shair ko khaty hy jis mai Ghazal ka ikhtitam hota hay uar is mai Shyar apna Takhlus use karta hay ( zara ya bata dijya ustad ji kya agr takhlus na ho tab bhi hum usay maqta hi khy gy na ? ) ya Takhlus shart hy ?
    bilkul sahi,
    agar aakhari sheir main takhalus naheen ho ga to phir woh maqta naheen khelaaye ga,balke us ko aakhari sheir kahain ge,


    Zameen-e-ghazal sy murad asi ghazal jis mai radeef aur baahr yani wazan aik sa ho .... jo aik hi andaz mai likhi gai ho ? is ko dubra parhu ga is post k bad agr kami ho to wazay kar dey .
    zameen-e-ghazal,...radeef,qaafiya,aor ghazal ki behar ke majmooi naam ko kehtey haiN,

    Mai nay jo parha hay , us mai Ghazal k kum sy kum 5 shair hoaty hay aur ziyada sy ziyada 30 laykin aap k sabaq mai 4 ko bhi ghazal kha gya hay aur tadaad 23 batai gai hay .
    sahi kaha aap ne,kuchh kitaaboN main aesa kaha gaya hai, ke ghazal main sheiron ki kam se kam ta.adaad 5 honi chaahiye,lekin bahot se ustaad sho.ra ne 4 sheiroN ki ghazlain bhi kahi haiN,jo ke bahot aasaani se mil sakti haiN,aor ziyada se ziyada ki ta.adaad 23 hi paRi hai main ne har jagah,
    agar aap ke paas koyi mustanad hawaala ho 30 sheiron ka to plz zaroor bataaiye ga,merey ilam main bhi izaafa ho ga,


    Ghazal ! ghazal k meanings hay Hiran ka jab shikar karty hy to jo us ki aakhri hoook hoti hy usay Ghazal kha gya hay , aap nay jo lughat k lhaaz sy batya hay usay bhi Ghazal hi khaty hy

    Wo shiro ka majmoa jis mai mukhtalif topic ho us ko Ghazal khy gy yani her shair mai aik new sabq ho ...
    theek,

    Musalsal Ghazal us ghazal ko khaty hy jis mai aik hi topic barqarar rahy yani agla shair pechly shair sy taluk rakhta ho ?
    bilkul sahi,

    Shyad ya aakhri jawbaat confuse kar dey aap ko :S kuo k shayd mai sahi trha byaan nahi kar paa rha :S
    arrey naheen,aap ne bahot aasaan lafzon main apna jawaab mujh tak pohanchaya hai,aor is main mujhey bilkul bhi confusion naheen huyi,

    Simple ya jis Ghazal ka har shair dosry shiar say alag ho wo Ghazal aur jis mai her shair dosry shair sy taluk rakhta ho wo musalsal khlata hay
    zabardast,shabaash,
    umeed karta hoon ke aap issi tarah mehnat kartey aor hamara saath nibhaate rahain ge,

    FeamnAllah

    bahot khush rahiye,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  3. #83
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Quote Originally Posted by naz View Post
    1), matla kissey kehtey haiN?
    pehley shair ke dono misrey hum Qafia hote hain.jise Matla kha jata hai.
    Misal Ke Tor Per yeh
    Teri Nazar Ne Hamain Kis Qadar Kharab Kiya
    Ke Humne App He Apna Safar Kharab Kiya
    Jo Kum Nazar Hain Hamain In Pe Aiteraz Nahi
    Hamai Tu Ap ne Ahl-e-nazar Kharab Kiya
    bilkul theek,
    is main aek cheez aor shaamil kar lain,agar ghazal ke phely sheir ke donon misrey ham qaafiya naheen honge jesey ke agar yeh sheir ghazal ka pehla sheir ho.....
    Jo Kum Nazar Hain Hamain In Pe Aiteraz Nahi
    Hamai Tu Ap ne Ahl-e-nazar Kharab Kiya
    to phir is ko matla naheen kahain ge,balke yeh pehla sheir ho ga,

    2), maqta kissey kehtey haiN?
    Ghazal ke akhri shair ko maqta kha jata hai. leken aik baat pochni hia agar shair ne apna Takhlus istemal nahi kia phir bhi wo Maqta he haina ? kuke zarori nahi hota her ghazal main shair apna Takhalus istemar karain.
    kuke aik ghazal ka akhri shair yeh hai yeh maqta he hoga na ?

    Tumhara dil kabhi pighley agar ghum ki hararat se
    Tumhe malom hojaye ga rona kis ko kehte hian
    naheen,is ko maqta naheen kahain ge,balke aakhari sheir kahain ge,

    aik misal

    Ya tu jazib koi de jaye isey zoq-e-sukhan
    ya koi mujh se yeh Ashfta sari le jaye
    yeh sheir agar ghazal ke aakhir main ho ga to yeh maqta kehlaaye ga,

    or ghazal ke bech main agar shair apna Takhalus istemal karai tu kiya ise bhi maqta kha jaye ga ?
    ghazal ke aakhari sheir ke ilawa,kissi bhi sheir ko maqta naheen kahain ge,be shak shaair ne apna naam,ya takhalus istamaal kiya ho,maqta sirf aakhri sheir hi hota hai,aor woh bhi tab,jab shaair ka naam/takhalus bhi ho us main,


    3), zameen-e-ghazal kis ko kehtey haiN?

    Is sawal ki waise mujhe sahe samaj nahi aye..jis ghazal main qafia,.radef or bahr hon inko zameen-e-ghazal kehte hain kiya ?
    phir tu her ghazal main he aisa hota hai phir her ghazal he zameen-e-ghazal hue kiya
    zameen-e-ghazal, radeef,qaafiya,aor ghazal ki behar/wazn ke majmooi naam ko kehtey hain,jesey ke aap ne jo ghazal neechey likhi hai,main bhi ussi tarah ki aek ghazal kahoon,jis ka radeef,qaafiya aor behar bilkul yahi ho,to main kahoon ga ke main ne falaaN ghazal ki zameen par yeh ghazal kahi,
    umeed hai baat samajh gayi ho gi aap,na samajh aaye to phir se poochh lijiye ga,


    4), ghazal main kam se kam,aor ziyada se ziyada kitney sheir ho saktey haiN?

    kam se kam 5 or zaida se zaida 23.misal 4 ki bhi milti hia.
    good,shabaash.

    5), ghazal,aor musalsal ghazal main kaya farq hai?
    ghazal main her shair aik alag mazmon hota hai jab ke musalsal ghazal main ashar ka aik dosre se taluk hota hai.
    sahi,

    main yeh pochna chahti hon ke kiya yeh ghazal Musalsal ghazal hai ?

    30ze1 - Shairy seekhiye,sabaq 1.

    naheen,yeh ghazal musalal ghazal naheen hai,musalsal ghazal main har sheir kissi aek khaas mazmoon ke taabe hota hai, jab ke is ghazal main har sheir ka apna alag mazmoon hai,
    Main ap ki sub se zaida nalaiq shagird hon bus time ki qilat hai werna parhe ka dil bhot hai aj bari mushkil se ate he sub se phele yehe aye hon ke yeeh karlon..sorry
    main aap ki masrufiyaat,aor majboori ko samajh sakta hoon,so pareshaan honey ki zaroorat naheen,yeh mazameen yaheeN hain,aor main bhi,jab bhi time miley,par liya karain,aor jo baat samajh na aaye,poochh lain,koshish rahey gi ke aap ki uljhan ka tasalli bakhsh jawaab de sakooN,
    bahot khush rahiye,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  4. #84
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    Assalamo-Alekam!

    1), matla kissey kehtey haiN?
    Ghazal ka pehla beyat, jis kay dono misray hum qafiya hotey hein.
    2), maqta kissey kehtey haiN?
    Ghazal ka akhri beyat jis mein sha’ir ya shaa’ira apna takhlus ya naam likhtey hein
    3), zameen-e-ghazal kis ko kehtey haiN?
    radeef, qafiya aur wazan kay majmoui naam ko.
    4), ghazal main kam se kam,aor ziyada se ziyada kitney sheir ho saktey haiN?
    kam say kam 5 aur ziada say ziada 23.
    5), ghazal,aor musalsal ghazal main kaya farq hai?
    ghazal mein her shair ka aik alag aur mukamil mazmoun hota hai dosry shair per depend nahi kerta. Ghazal musalsil mein pehlay shair say ley ker akhri shair tak mazmoun mein aik rawani hoti hai, aur un ka taluq apis mein mail khata hai, aik he mazmoun ko beyan kia jaata hai!
    bahot khoob,bilkul sahi jawabaat rahey aap ke,shabaash,
    bahot khush rahiye,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  5. #85
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Quote Originally Posted by Hijab View Post
    I think naz aapi, yeh sirf ghazal hai, musalsil nahi hai.
    Kyon kay mujhe tou lag raha hai kay her shair mein aik alag baat ki gaye hai, anyhow
    Zain Sahab, sahi bata saktey hein!

    bahot khoob,bilkul sahi kaha aap ne,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  6. #86
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    ASLAAM O ALEKUM,

    aap sabhi ke jawabaat dekhey,aor khushi huyi ke meri mehnat zaaiya naheen gayi,
    umeed karta hoon ke aap sab issi tarah mehnat se is ko samajhney ki koshish kartey rahain ge,aor yeh silsila yoonhi chalta rahey ga,

    zaroori samajhta hoon ke aek baar phir un sawalaat par nazar daal li jaaye,ta ke agar koyi uljhan baaqi reh gayi hai to door ho jaaye,

    1), matla kissey kehtey haiN?

    matla ghazal ka woh pehla sheir hota hai,jis ke donon misrey ham qaafiya hotey haiN,agar misrey ham qaafiya naheen honge to woh matla naheen,balke ghazal ka pehla sheir kehlaaye ga,

    2), maqta kissey kehtey haiN?

    maqta ghazal ke us aakhari sheir ko kehtey hain,jis main shaair/shaaira apna naam/takhalus istamaal karta hai,agar naam,ya takhalus naheen ho ga,to issey maqta naheen,balke aakhari sheir kahain ge,

    3), zameen-e-ghazal kis ko kehtey haiN?

    zameen-e-ghazal,....ghazal ke radeef,qaafiya,aor behar/wazn ke majmooi naam ko kehtey hain,

    4), ghazal main kam se kam,aor ziyada se ziyada kitney sheir ho saktey haiN?

    ghazal main kam se kam 5, sheir,(ustaad shora ke haan 4 ki bhi misaal milti hai),jabke ziyada se ziyada 23 sheir hotey hain,

    5), ghazal,aor musalsal ghazal main kaya farq hai?

    ghazal ke har sheir apna alag mazmoon rakhta hai,jo ussi sheir main mukamal ho jata hai,
    jabke ghazal-e-musalsal main har sher apni jagah par mukamal honey ke baawajood kissi aek khaas mazmoon ke taabe hota hai,

    agar kissi ko koyi uljhan paish aa rahi ho to phir se poochh sakta hai,koshish rahey gi ke tasalli bakhsh jawaab de sakoon,

    INSHA ALLAH jald hi agley kuchh sawalaat ke saath haazir hota hoon,
    bahot khush rahiye,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  7. #87
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    london.
    Posts
    562
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Aaj ke swaalaat,

    1) rubaayi main kul kitney sheir hotey hain?
    2) kaya rubaayi kissi bhi behar/wazn main kahi ja sakti hai?
    3) rubaayi aor qitta main kaya farq hota hai?
    4) qitta main kam se kam,aor ziyada se ziyada kitney sheir hotey hain?
    5)qitta aor ghazal main kaya farq hota hai?


    bahot aasaan se sawaal hain,jin ke jawaab issi mazmoon main chhupey hain,dhoondiye aor yahaan likh dijiye,

    main chaahoon ga ke kal tak in sawalaat ke jawaab aa jaayain,ta ke ham kal naya mazmoon post kar sakain,jo ke nazam ke baarey main ho ga,
    bahot khush rahiye,hanstey muskuraate rahiye,
    Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
    hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN


  8. #88
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Assalamo-Alekam!
    INSHALLAH, thori dair mein hum jawabaat dey dein gey!

  9. #89
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Assalamo-Alekam!

    1) rubaayi main kul kitney sheir hotey hain?
    dou ashar hotey hein
    2) kaya rubaayi kissi bhi behar/wazn main kahi ja sakti hai?
    nahi kahi jaa sakti……us ka apnay makhsosu ouzan mein hona lazmi shart hai
    3) rubaayi aor qitta main kaya farq hota hai?
    rubaye apnay makhsous auzan mien hoti hai, aur aam tour per us mein koi naseehat ya sabaq amouz paigham diya jaata hai, jabkay qitta mein her kisam ka mazmoun kaha jaa sakta hai aur us ki lazmi sahrt yeh hai kay her shair aik dosrey say jura hua hona chaiye
    4) qitta main kam se kam,aor ziyada se ziyada kitney sheir hotey hain?
    kam say kam dou hona lazmi hai, ziada ki tadaad muqarar nahi hai
    5)qitta aor ghazal main kaya farq hota hai?
    qitta mein matla nahi hota jabkay ghazal mein hota hai


  10. #90
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: Shairy seekhiye,sabaq 1.

    Quote Originally Posted by zain View Post
    dekhain,shaairy karney ke liye zaroori hai ke aap jis zubaan main bhi likh rahey hain,us main aap ko mukamal naheen to kaafi saari muhaarat aor aboor haasil ho,warna achhi shaairy karna mushkil hota hai,is liye aap ko chaahiye ke aap saath saath urdu bhi seekhain.

    jahaan tak is mazmoon ki baat hai,main ne apni poori koshish ki thi ke is mazmoon ko aasaan tareen alfaaz main likhooN,ta ke sab parney waalon ko samajh aa sakey,phir bhi agar aap ko yeh mushkil lag raha hai to aap yoon kijiye ke mazmoon ko pariye,aor jo bhi lafz mushkil lagey,ya jis ki samajh na aaye,yahaan likh dain,main us ka matlab/mafhoom bata doon ga,is se yaqeenan aap ko bahot aasaani ho jaaye gi.

    wesey mera aap ke liye mashwara hai ke aap ziyada se ziyada ustaad shaairoN ko paRain,us se aap ki urdu bahot achhi ho jaaye gi.
    bahot khush rahiye,

    Alhumdulillah keh main buhat poetry perhti hoon....sab ki books parhti hoon..novels perhti hoon....

    ap ki urdu ais liye mushkil lagi keh yeh sab lafz me 1st tym perh rahi thi.....but InshaAllah kuch na samhj aya tu me pouch loon gi ap say.....


    thanko...
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - Shairy seekhiye,sabaq 1.

Page 9 of 11 FirstFirst ... 7891011 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •