yeh baaqi sab kahaan gaye?
abhi tak sirf Hijaab saahiba ka reply aaya hai,jabke mujhey to aaj naya mazmoon post karna tha,
chalo,kuchh aor time ke liye rehney deta hoon issey,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
yeh baaqi sab kahaan gaye?
abhi tak sirf Hijaab saahiba ka reply aaya hai,jabke mujhey to aaj naya mazmoon post karna tha,
chalo,kuchh aor time ke liye rehney deta hoon issey,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
ok jee abb aaj k sawalon k jawab dainy ki koshish karti hoon
1) rubaayi main kul kitney sheir hotey hain?
Rubaai main kul do shair aur 4 misray hotay hain..
2) kaya rubaayi kissi bhi behar/wazn main kahi ja sakti hai?
rubaai k makhsoos wazn hotay hain jin main rubaai kahi jati hai .. in makhsoos ozaan k ilawa kisi bhee wazn main kahay gaye 4 misray rubaai nai ho skaty..
3) rubaayi aor qitta main kaya farq hota hai?
Rubaai ki makhsoos ozaan hotay hain jab k qitta kisi bhee wazan main kaha ja sakta hai..
4) qitta main kam se kam,aor ziyada se ziyada kitney sheir hotey hain?
Qitta main kam say kam 2 shair kahy jaty hain aur zayada ki koi taadaad muqarar nai..
5)qitta aor ghazal main kaya farq hota hai?
Qitta main aam tor par matla nai hota aur ghazal main matla hota hai..
Last edited by zeest; 28-04-2008 at 03:26 AM.
ASLAAM O ALEKUM,
Mohtarma Hijab saahiba,aor Zeest saahiba aap donon ke hi jawaabaat bilkul theek haiN,shabaash,
abhi thori der main nata mazmoon post kar raha hoon,umeed karta hoon ke aap ke bahot kaam aaye ga woh bhi,aor khushi ho gi agar aap us se kuchh seekh sakain to,
bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
aslamalykum ustad ji
mein kuch masroofiyat ki waja say ghair hazir rehnay ki maafi chahti hoon
umeed hai k maaf farma dein gay
yahan per sabaq ki 2,3 mashqien ho chuki hein mein nay sab k replies parr liye hein
ustad ji ab samjh nahi aarahi k iss tootay silsilay ko kahan say jora jaye, mera matlab hai k kon kon say sawaloon k jawabaat diye jayein.
unn sab k jo miss hue hein?
yaa sirf akhir sabaq k?
shukriya
WALEKUM ASLAAM,
main to samjha tha bhaag gayeeN aap
mazaaq bartarf,...........aap yoon kijiye,in sawaaloN ko ab rehney dijiye,bas mazmoon ko baghor paRain,aor baar baar paRain,aor in tamaam sawalaat ke jawabaat,khud se poochhain,is mashq se aap ko yaad karney aor yaad rakhney main,aasaani ho gi,
aor saath hi saath,is mazmoon ko bhi paRti rahain,jab tak sawaal jawaab ka silsila shuroo kartey hain,aap pehla sabaq yaqeenan samajh chuki ho gi,
jahaan kaheen mushkil paish aaye,mujh se poochh lijiye ga,
bahot khush rahiye,
Dastaar beich kar maiN bachaauN jo Zain sar
hai aarzoo-e-zeest, magar is qadar naheeN
Walekam-Asalm miss sng....!
ooopppsss hamein bhi abhi yeh he nazar aa raha hai........so it means kay file delete ho gaye ho gi
Zain Sahab shayd dosri copy upload ker dein!