BADI TAKLEEF HOTI HAI


Jeena hai mujhe tere bin
Magar main jee nahi pata
Mujhe ik zidd si hai teri
Main tujhko he nahi pata
Badi taqleef hoti hai

Badi taqleef hoti hai

Na he khwabon khayalon me
Na roti ke niwaalon me
Zindgi mujhko milti hai
Teri aankhon ke pyalon me

Unhe main pee nahi paata
Mujhe ik zidd si hai teri
Main tujhko he nahi paata
Badi taqleef hoti hai

Badi taqleef hoti hai

Prinda Aasmaa chaahe
Magar wo udd nahi paaye
Musafir aasmaanon ka
Zamee per he mara jaaye

Lage hain zakhm pankhon per
Zakham wo see nahi paata
Badi taqleef hoti hai

Badi taqleef hoti hai

Use jab bhool jaata houn
Wo mujhko bhool jata hai
Main ussko yaad aata houn
Wo mujhko yaad aata hai

Muhobbat ke samander se
Muhobbat bhi nahi paata
Badi taqleef hoti hai

Badi taqleef hoti hai

Wo milta he nahi mujhse
Magar her roz milta hai
Kabhi wo saans hai mujhko
Kabhi dil me dhadakta hai

Base wo ruuh me meri
Magar main choo nahi paata
Badi taqleef hoti hai

Badi taqleef hoti hai

Khuda gar mujhse milta hai
Shiqayat usse karta houn
Mujhe wo kyu nahi milta
Mai jiss chehre pe marta hu

Karan sab kuch to milta hai
Muraad dil kiii nahi paata
Badi taqleef hoti hai

Badi taqleef hoti hai