KANTE CHUBHA GIA IK SHAQS
Bana gulab to kante chubha gia ik shaqs
Hua charagh to ghar hi jala gia ik shaqs
Mein kis hawa mein uron kis faza mein lehraon
Dukhon ke jaal hur ik su bicha gia ik shaqs
Tamam rang meray aur saray khawab meray
Fasana thay ke fasana bana gia ik shaqs
Palat sakon hi na agay hi berh sakon jis per
Mujhe ye konse rastay laga gia ik shaqs
Mohabbatain bhi ajab uski nafratain bhi kamal
Meri hi tarah ka mujh mein sama gia ik shaqs
Wo mahtab tha merham badast aya tha
Magar kuch aur si bat dil dukha gia ik shaqs
Mohabbaton ne kisi ki bhula rakha tha usay
Milay wo zakhm ke phir yad a giya ik shaqs
Khula ye raaz ke aina khana hai dunya
Aur usmein mujh ko tamasha bana gia ik shaqs