ZINDAGI MA HUM KABHI NA KABHI US MAKAM PER AA JATEY HAIN JAHAN SAREY RISHTEY KHATUM HO JATEY HAIN,
WAHAN SIRF HUM HOTEY HAIN AUR "ALLAH" HOTE HEY KOI MAAN BAAP, KOI BEHAN BHI, KOI DOST NAHI HOTA.
PHIR HUMAIN PATA CHALTA HEY K HUMAREY PEROUN(FOOTS) K NECHAY ZAMEEN HEY NA HUMAREY SIR K UPER KOI AASMAN,
BS
SIRF AIK "ALLAH" HEY JO HUMAIN IS KHALA(SPACE) MA B THAMEY HUEY HEY PHIR PATA CHALTA HEY HUM
ZAMEEN PER PARI MITTI K DHER MA AIK ZAREY,
YA DARAKHT(TREE) PER LAGEY HUEY AIK PATEY(LEAF) SE ZIADA KE OQAT NAHI RAKHTY , PHIR PATA CHALA HEY K HUMAREY HONEY AUR NA HONEY SE SIRF HUMAIN FARAK PERTA HEY,
SIRF HUMARA KIRDAR KHATUM HO JATA HEY. KAINAAT(UNIVERSE) MA KOI TABDELI NAHI AATI KISI CHEEZ PER KOI ASAR NAHI PERTA"
SAALAR KO APNEY SEENAY MA AJEEB SA DARD MEHSOOS HO RAHA THA US NE BEHTAY HUEY PANI KO MOUN MA DALA USEY AIK BAR PHIR UBKAI AYE
"US K BAAD HUMARI AQAL THIKANEY AA JATI HEY"
WOH IS AWAZ KO APNEY ZEHAN SE JHATAKNE KE KOSHISH KER RAHA THA. USEY HERANI HO RAHI THEE K WOH US KO IS WAQT KYUN YAAD AYE THEE.
Umaira Ahmed k Novel Peer-e-Kamil se