'Cycle of replacement' mein sirf mohabbat ki replacement nahi hoti.Khud ko faraib deney k bawajood hum jantey hain k hamarey wajood mein khoon ki gardish ki tarah basney wala naam kis ka hota hai.Hum kabhi b ussey dil sey nikal kar bahar nahi phenk saktey.Teh-dar-teh us k upper doosri mohabbaton ka dhair lagaey jatey hai,kehtey hain k ab hum is sey mohabbat kartey hain,ab hum us sey mohabbat kartey hain lakin jo ziada door hota jata hai woh ziada qareeb aa jata hai aur woh hamarey dil aur dimagh k us hissey mein ja pohnchta hai k kabhi usko wahan sey nikalna parey to phir us k baad hum normal zindagi guzarney k qabil he nahi rehtey
(From Amar Bail by Umaira Ahmed)