Main behk sakoon yeh majal kia mera rahnuma koi aur hai -
Mujhay khoob janlain manzilain yeh shikusta paa' koi aur hai -
Jo tumhari jali se mutassil -
Hai sutoon kay peechay khajil khajil
Jo tumhari jali se mutassil hai sutoon kay peechay khajil khajil
Nahi main nahi who mareez-e-dil na meray siwa koi aur hai -
Meri iltija hai yeh doo'ston kabhi tum jo soo-e-haram chalo -
To banakay sir ko qadam chalo kay yeh raasta koi aur hai -
Hai tujhay khaber shahe ee'no aan meri wajherahat-e-qalb-o-jan-
Na teray siwa koi aur tha na teray siwa koi aur hai -
Yeh guman tha kai saa'l say yeh yaqeen hai kai roze say -
Meray dil say gunmbad-e-subz ka yeh mamla koi aur hai -
Who Habib-e-rubbayKarim hai who Raoof hai who Rahim hai -
Unhain fikr hai meri aap ki unhain chahta koi aur hai -
Main jo door arz-e-haram' se tha hoi khuld-e-gosh haseen sadaa-
Hai is hi main majid-e-baynawaz kay yeh qafla koi aur hai -
Main behk sakoon yeh majal kia mera rahnuma koi aur hai
Mujhay khoob janlain manzilain yeh shikusta paa koi aur hai