aik suggestion thi...is section mein just islamic siggi.alow kiye jayein..gar nahi tau memberz apne siggi disable kar diya krein while posting in dis section
meytah meytah hai merey muhammed ka namm
un pe lakoon karoon darood o salaam
waqt laa-yai darbar par
aur kahray ho raoza-e-sarkar par
paysh mill kar karay ham darood o salaam
wo hee hasanee husaynee chaman kay hain phool
nooray maula ali jaana zahra batool
jis kay naana rasoolay khuda zee makaam
shahay kowain wo rouhey daarayna wo
fakharay hasanain wp ghous-e-sakalayn wo
jis kay dar kaa hai haafiz bee adana gulaam
un paa lakoon karoon darood o salaam
meytah meytah hai mera muhammed ka naam
meytah meytah hai mera nabeejee ka naam
meytah meytah hai mera aaqa ka naam
meytah meytah hai mera murashadee ka naam
meytah meytah hai mera sayadee ka naam
meytah meytah hai mera muhammed ka naam
mettah meytah hai mera muhammed ka naam
Naat Rasool Maqbool (PBUH)
Apnay AAQA (PBUH) Kay Sana Khowano Main Paya Jao
Aarzoo Ye Hay MADINA Main Bulaya Jao
Kaash Mujh Ko DAR -E- AQDAS Ki Hazori Mil Jaye
Or SARKAAR (PBUH) Kay Qadmo Main Bethaya Jao
Un (PBUH) Ki Rehmat Hai Wasee Itni Ajab Kia Hay Ager
Main Bhi SARKAAR (PBUH) Ki Kamli Main Chupaya Jao
Itbah Main Teray MEHBOOB (PBUH) Ki Kamil Ho Kar
Sar -e- Mehshar Main Teray Saamnay Laaya Jao
Zindagi Sari Basar Ho Tu Usi Shaher Main Or
Mar Bhi Jao Tu MADINA Say Na Laaya Jao
Jis Nay Choomay Hain Qdam RAHMAT -E- AALAM (PBUH) Kay Kamaal **
Roz -e- Mehshar Usi Mitti Say Utha Jao ....
UN KE DAR KA GADA HOON
main to khud un ke dar ka gada hoon
apnay aaqa ko main nazer kia doon
ab to ankhoon main bhi kuch nahi hai
werna qadmoon main ankhain bicha doon
aanay wali hai un ki sawaari
phool naaton k gher gher saja doon
meray ghar main andhaira bohut hai
apni palkon ki shemmain jala doon
roza e paak paish e nazer hai
saamnay meray aaqa ka dar hai
mujh ko kia kuch nazer a raha hai
tum ko lafzoon main kaisay bata doon
bay nigahi peh meri na jaayain
deedawer meray nazdeek aayain
main yehin say madina dikha doon
daikhnay ka saliqa sikha doon
meri jholi main kuch bhi nahi hai
mera ser maya hai to yehi hai
apni ankhoon ki chandi baha doon
apnay mathay ka sona luta doon
ik yehi arzoo rah gaii hay
un ke dar tak ho meri resaii
apni paishani us dar peh rakh doon
saari dunya ko phir main bhula doon
qaflay ja rehay hain madinay
aur hasret say main tak raha hoon
ya lipat jaoon qedmoon say un ke
ya kaza ko main apni sada doon
meray ansoo bohet qeemeti hain
in say wabesta hain un ki yaadain
in ki manzil hai khak-e-madina
yeh goher yunhi kaisay luta doon
main faqat aap ko janta hoon
aur usi dar ko pehchanta hoon
is andheray main kis ko pukaroon
app fermain kis ko sada doon
meri bakhshish ka saman yehi hay
aur dil ka bhi arman yehi hay
ik din un ki khidmet main ja ker
un ki naatain unhi ko suna doon
mujh ko iqbal nisbet hay un say
jin ka her lefz jaan-e-sukhen hay
main jahan naat apni suna doon
sari mehfil ki mehfil jaga doon
Last edited by shaan; 04-03-2009 at 04:53 AM.
jaanoo zbrdst
Subhan Allah bohot acha hay
closed