Zindagi bhi bus aik dairy ki maanind hai. jis kay her safhey per din,tarekh,maah-o-saal chasspaa'n hain. safah aik sey ley ker aakhir tak zindagi is per bey-shumaar tehrerei'n likhti hai.her tehreer ki nouiyat zindagi kay mizaaj per manhasir hai. jab yeh khush hoti hai tou dhanak kay saatou'n rang dairy mein sajaati hai aur jab naa-khush hoti hai tou maatmi siyaah rang sey safhou'n ko kala ker dalti hai.ham agar shuroo sey aakhir tak
issey perhtay jaai'n tou pata chaley gaa ke tarekh kay saath saath tehreerou'n mein pukhtagee,souch aur tajruba dikhaaee daita hai.
Laikin afsous ke joo'nhi ham in tajrabou'n aur pukhtagiyou'n sey faizyaab houney lagtey hai'n dairy kay safhaat khatam ho jaatey hain.!
Khalil Jibraan