-
Let' Play Shairi
assalam-o-alikum Dosto....
hum aik khail kheltay hain.....aray nahi bahee.....aisa koi khail nahi jis ma app ko paghana dorna paray......yeh khail app ki shairi se dilchaspi ko aur bhee zaiadah kery gaa.....Azmaish shart ha...
jee tu sathion...is main may kisi bhee aik shair ki koi nazam ya gazal ya koi shar post keron geen.....us k baad next shair ka naam doon geen.....phir jo sathi post keray gaa us ko maloom hona chaheh k woh usi shair ki shairi ha...phir woh next poet ka naam day gaa.....is tarah se humain shairi k sath un k sakhleeq kaar(poet) ka bhee pata chalay gaa....theek...tu ab ma start kertee hoon...
(Ahmad Faraz)
har koi dil ki hathaili pe hai sehra rakhey
kis ko sairaab karey woh kisey pyasa rakhey
omer bhar kon nibhata hai talouq ithna
aey mari jaan k dushman tujhey Allah rakhey
ham ko acha nahi lagtha koi ham-naam tera
koi tujh sa ho thu phir naam bhi tujh sa rakhey
dil bhi pagal hai k oss shakhs sey wabasath hai
jo kisi aur ka honey dey ,na apna rakhey
hans na ithna bhi faqeron k akaileypan par
ja, Khuda mari tarah tujh ko bhi tanha rakhey
ye qana'ath hai, atha'atah hai, k cha'hath hai Faraz
ham thu razi hein woh jis haal main jaisa rakhey.
next is AITEBAR SAJID
-
-
Re: Let' Play Shairi
Mai kyun usko phone karoon
Uske bhi to ilm mai hoga
Kul shub
Mausam ki pehli barish thi...
next FARHAT ABBAS SHAH
-
Re: Let' Play Shairi
Amjad islam Amjad
-
Re: Let' Play Shairi
mery chara gar
mery chara gar
mery dard ki tujhey kia khabar
tu mery safar ka shareek hai
nahi humsafar
mery chara gar mery chara gar
tery haath se mery haath tak
wo jo haath bhar ka tha fasla
kai musamon main badal gaya
isey napty isey kaatey
mera sara waqat nikal gaya
nahi jis pe koi nishan pa
mery samney hai rah guzar
mery chara gar
mery dard ki tujhey kia khabar
ye jo reag dasht e farak hai
mery raston main bichi hoi
kisi moor pe rukey kahin
ye raat hai mery chaar suu
magar is ki koi sehar nahi
na hi chaon hai na samar koi
main ney chaan dekha shjar shjar
mery chara gar
mery dard ki tujhey kia khabar
Next NOSHI GILLANI
-
-
Re: Let' Play Shairi
Iss Basti ke Ik koochey mein , Ik Inshah Naam ka Deewana
Ik naar pe jaan ko Har gaya , mash'hoor hai uss ka afsaana
Uss naar mein aisa roop na tha , jis roop se din ki dhoop dabbey
iss shehar mein kya kya gori hai , mehtaab rukhey gulnaar labbey
kuch baat thi uss ki baatoo'n mein,kuch bhaid they uss ke chitwan mein
wuhi bhaid ke joat jagaatey hain , kisi chahney waaley ke mann mein
ussey apna banaey ki dhun mein , hua aap hi aap se begaana
Iss basti ke ik koochey mein ik Inshah naam tha Deewana
Na chanchal khail jawani ke , na payaar ki al'harh ghaatein thein
bus raah mein unn ka milna tha aur phone pe unn ki baatein thein
iss Ishq pe ham bhi hanstey they , behasil sa behasil tha?
ik roz biphartey sagar mein , na kashti thi na sahil tha
jo baat thi in ke ji mein thi , jo bhaid tha yaksar anjaana
iss basti ek ik koochey mein , ik Inshah naam tha deewana
ik roz magar barkha rutt mein , wo bhaadoon' thi ya sawan tha
deewar pe beech sumandar ke , yeh dekhney waloo'n ne dekha
mastana haath mein haath diye , yeh aik Kagar pe baithey they
youn Shaam hui phir Raat hui , jab Sailaani ghar laot gey
kya raat thi wo - ji chahta hai uss raat pe likhein Afsaana
iss basti ke ik koochey mein ik Inhah naam tha deewana
Haa'n Umar ka saath nibhaaney ke they Ehad bohat Paimaan bohat
wo jin pe bharosa karney mein kuch sood nahi , Nuqsaan bohat
wo Naar yeh keh kar door hui - " majboori Sajan Majboori"
yeh wehshat se ranjoor huye aur ranjoori si ranjoori
uss roz hamein maloom hua , uss shakhs ka mushkil samjhana
iss basti ke ik koochey mein , Ik Inshah naam tha deewana
next MUNIR NIAZI
-
Re: Let' Play Shairi
Dost Ek Baat Kehni Hai
Humein Nahin Pata Ye Shayir Kaun Hain
Hum Ne Na Hi In Ka Naam Suna Hai Na Hi Ghazals Parhi Hain
Agar Ghazals Parhi Bhi Haun To Shayad In Ka Naam Na Ho
Faraz Sahab Ke Naam Ki Ek Ghazal Read Ki Thi
Suna Hai Usay Laug Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
Dost Is Tarah To Hamare Liye Mushkil Ho Jaaye Gi
Is Game Main Koyi Aur Hall Nikaaliye Na Plz
-
Re: Let' Play Shairi
Nxt iz Wasi shah
-
Re: Let' Play Shairi
Next Parveen Shakir
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules