Yeh kha se lao meko nahi pata
Yeh kha se lao meko nahi pata
maiN aise naam is liye likhtaa huN aa k logoN meN rujHaan paida ho un logoN ke baare emn jaane ke liye jin se 'awaam naa-shinaas hai magar vo achchhe shaa'ir / shaa'ira hote haiN...Meena Kumarii unhiiN men se ek haiN jinkii shaKHsiyat ba-taur ek adaa-kaarah ke bahooot ziyaada ujaagar hai magar ba-Haisiyat ek shaa'ira bahot kam log jaante ahin aur Khaas kar unkii Khoobsoorat aawaaz aur unkaa paRhne kaa andaaz. unkii audio available haiN youtube par magar afsos k uskaa link maiN yahaN nahiiN post kar saktaa. agar kisi ko darkaar ho to mujh se PM ke zarii'ye yaa email ke zarii'ye Haasil kar saktaa hai:
unkii ek Ghazal ba-taur e namoona pesh karta huN:
Mahjabeen taKhallus "Naaz"
Pakeeza film ke heroine Meena Kumari
Meena Kumari kii Ghaz
aaGhaaz to hotaa hai, anjaam nahiiN hotaa
jab merii kahaanii meN vo naam nahiiN hotaa
jab zulf kii kaalikh meN ghul jaaye koii raahii
bad_naam sahii lekin gum_naam nahiiN hotaa
haNs haNs ke javaaN dil ke ham kiuN na chuneN TukRe
har shaKhs kii qismat meN in'aam nahiiN hotaa
bahte huye aaNsuu ne aaNkhoN se kahaa tham kar
jo mai se pighal jaaye vo jaam nahiiN hotaa
din Duube haiN yaa Duubii baaraat liye kashtii
saaHil pe magar koii kohraam nahiiN hotaa
next: Wali Deccani
one quartet of [1 of 4 wings]
The FIRST & ONLY School that i ever attended
Syedna Saifuddin Taahir High School
Aligarh Muslim University
ALIGARH, India
ahan waqie yeh tu pata nahi tha..thanks batane ka
or jo link edit kiya hai waha kuch or laga dijeye
one quartet of [1 of 4 wings]
The FIRST & ONLY School that i ever attended
Syedna Saifuddin Taahir High School
Aligarh Muslim University
ALIGARH, India
Is PIC KA mujhe nahi pata maine kuch nahi kiya.
tabiiyat in dinoN be-gaana-e-Gham hotii jaatii hai
mere hisse ki goyaa har Khushii kam hotii jaatii hai
qayaamat kyaa! ye ai husn-e-do-aalam hotii jaatii hai
ke mehfil to vohii hai, dilkashi kam hotii jaati hai
vohii mai-Khaana-o-sahbaa, vohi saaghar, vohii shiishaa
magar aavaaz-e-nushaanosh maddham hotii jaatii hai
vohii hai shaahid-o-saaqii magar dil bujhtaa jaataa hai
vohii hai shammaa lekin raushnii kam hotii jaatii hai
vohii hai zindagii lekin “Jigar” yeh haal hai apnaa
ke jaise zindagii se zindagii kam hotii jaatii hai
Daag