-
Re: Let' Play Shairi
next ADEEM HASHMI
-
Re: Let' Play Shairi
zakia ghazal
-
Re: Let' Play Shairi
munsifo.n saliibo.n par faisale nahii.n hote
munsifo.n saliibo.n par faisale nahii.n hote
besabab baGaavat ke saanahe nahii.n hote
jhuuTh aur sadaaqat kii jang to azal se hai
phir bhii sach pe jiine ke hausale nahii.n hote
soch ke judaa honaa phir ke mil na paaye.nge
kyo.n ke is zamaane me.n mojeze nahii.n hote
jo bhii the gile shikave duur kar ke jaanaa thaa
kam se kam bichha.Dane par dil bure nahii.n hote
chaa.Nd se kahaa ham ne tum hii raat bhar jaago
ham se us kii yaado.n me.n rat_jage nahii.n hote
next Sahir Ludhianvi
Last edited by Manoos Ajnabi; 14-06-2008 at 09:00 PM.
-
Re: Let' Play Shairi
Ahmed Faraz
-
Re: Let' Play Shairi
Qurabton mein bhi judayi ke bahane maange
Dil woh bemehar ke rone ke bahane maange
Apna yeh haal ke jee haar chuke lut bhi chuke
Aur mohabbat wohi andaaz puraane maange
Yehi dil tha ke tarasta tha marasim ke liye
Ab yehi tark-e-ta'luq ke bahane maange
Zindagi hum tere daaghon se rahe sharminda
Aur tu hai ke sada ayina khaane maange
Dil kisi haal mein qaneya hi nahi jaane Faraz
Mil gaya tu bhi to kya aur na jaane maange
Ahmed Nadeem Qasmi
-
Re: Let' Play Shairi
Farhat Abbas Shah
-
Re: Let' Play Shairi
Tum jo hotay to hamain kitna sahaara hota
Hum ne auron ko na yun Dukh main Pukara hota
Jittni Shidat se main wabista tha tum se FARHAT
Kis taraha mera teray bahd Guzzara hota
Mujj ko ye soch hi kaafi hay Jalanay k liye
Main na hota to koi aur tumhara hota
aur hum baith k khamoshi se roey jatay
Sham hoti, Kisi Dariya ka kinnara hota
Dil se Daikhi nahi jaati thi Khamoshi ghar ki
Kis tarha ujjRa houa shehr Gawara hota
Chand hota k meri Jan Sitara hota
hum ne ik teray siwa dil main utara hota
Tu ne socha hay Kabi Kitna Mohabbat k baghair
Rooh Farsa Dil-e-WeeraaN ka Nazzaara hota
Ghalib
-
Re: Let' Play Shairi
aa ki merii jaan me.n qaraar nahii.n hai
taaqat-e-bedaad-e-intazaar nahii.n hai
dete hai.n jannat hayaat-e-dahar ke badale
nashshaa baa_andaazaa-e-Khumaar nahii.n hai
giriyaa nikaale hai terii bazm se mujh ko
haaye! ki rone pe iKhtiyaar nahii.n hai
ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-Khaatir
Khaak me.n ushshaq kii Gubaar nahii.n hai
dil se uThaa lutf-e-jalvaa haaye ma_anii
Gair-e-gul aa_iinaa-e-bahaar nahii.n hai
qatl kaa mere kiyaa hai ahad to baare
vaaye! agar ahad ustavaar nahii.n hai
tuu ne qasam mai_kashii kii khaa_ii hai 'Ghalib'
terii qasam ka kuchh aitabaar nahii.n hai
Mir Taqi Mir
-
Re: Let' Play Shairi
next MUSTAFA ZAIDI
-
Re: Let' Play Shairi
Ehsan Danish
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules