Mohsin Naqvi
Kabhi Jo Chairr Gai Yaad-e-Raftagaan MOSHIN
Bikher Gai Hain Nighaain Kahan Kahan MOSHIN ?
Hawa Nay Raakh Uraaii To Dil Ko Yaad Aaya
Keh Jal Bujhain Mere Khawabon Ke Bastiyaan MOSHIN
Kuch Aisay Gher Bhe Milay Jin Main Ghonghaton K Aooz
Hoi Hain Dafan Dopaton Main Larkiyaan MOSHIN
Khander Hai Ehud-e-Guzishta, Na Choh Na Chairr Isay
Khulain To Band Na Hoon Is Ke Khirkiyaan MOSHIN
Bujha Hai Koon Sitara Keh Apni Aankh K Sath
Howay Hain Saray Manazir Dhowan Dhowan MOSHIN
Nahi Keh Us Say Ganwa Hain Maah-o-Saal Apnay
Tamam Umer Kati Yun Bhe Raaigaan MOSHIN
Mila To Or Bhe Taqseem Ker Gaya Mujh Ko
Sameetna Theen Jisay Meri Kirchiyaan MOSHIN
Kahain Say Us Nay Bhe Torra Hai Khud Say Rabt-e-Wafa
Kahain Say Bhool Gaya Main Bhe Dastaan MOSHIN
(ahmed faraz )
BhalaY dinoN kee baat haY
bhali see aik shakaL thee
na yeh kaY hus'n-e-tamaam ho
na dekhnaY maiN aam see
na yeh kaY chalaY tau
kehkashaaN see rah-guzar lagaY
phir bhee saath ho tau
bhala bhala sa safar lagaY
koyee bhee ru't ho uss ka ja'b
faza kaa ra'Ng-o-roop thee
woh garmiyoN kee chaa'ooN thee
woh sardiyoN kee dhoop thee
na muddatoN judaa rahaY
na saath subh-o-sham hee
na rishta-e-wafa pay zid
na yeh kay izn-e-aam hee
na aisee khush libasiyaaN
kay saadgi gila karay
na itni bay takallufi
kay aai'na hayaa karay
na ikhtalaat maiN woh ra'mm
kay bad-mazah hoN khwaahishaiN
na iss qadar sapurdagi
kay zich karaiN nawaazishaiN
na ashiqi janooN kee kay
zindagi azaab ho
na iss qadar KaThor pa'n
kay dosti kharaab ho
kabhi tau baat bhee khafi
kabhi sakoot bhee sukhan
kabhi tau kisht-e-zaafraan
kabhi udaasiyoN kaa ba'n
sunaa hay aik um'r hay
mua'amlaat-e-dil kee bhee
was'l-e-jaaN faza tau kiya
firaaq-e-jaaN ghussal kee bhee
so aik roz kiya huvaa!
wafa pay beh's chiR gayee
maiN ishq ko amar kahooN
woh meri zid say chiR gayee
maiN ishq kaa aseer thaa
woh ishq ko qafas kahay
yooN hee Um'r bhar kay saath ko
ba'd taraaz hawas kahay:
"shajar hajar naheeN kay hum
hamesha pa ba-guL rahaiN
na Dor haiN yeh rassiyaaN
galay maiN mustaqiL rahaiN
muhabbatoN kee wusa'taiN
hamaaray dasto-pa maiN haiN
ba's ik dar say nisbataiN
saNg-e-baa wafaa maiN haiN
maiN koyee painting naheeN
jo ik frame maiN rahooN
wohi jo ma'n ka meet ho
ussi kay prem maiN rahooN
tumhaari soch jo bhee ho
maiN iss mizaaj kee naheeN
mujhay wafa say bey'r hai
yeh baat aaj kee naheeN"
na uss ko mujh paY maan thaa
na mujh ko uss pay zo'am hee
jab koyee eh'd hee na ho
tau kiya gham-e-shikastagi?
so apna apna rasta
hansee khushi badal diya
woh apni ra'h pay chaL paRi
maiN apni ra'h pay chal diya
bhali see aik shakal thee
bhali see uss kee dosti
abb uss kee yaad raat din
naheeN!
magar!!!!!
kabhi kabhi
next saghar siddique
apani rusawaye tere naam ka charcha dekhaun
ek zara sher kahoun aur main kyaa kyaa dekhoun
nend aa jaaye to kya mahafilien barpa dekhoun
ankh khul jaaye to tanhaaye ka sahara dekhoun
shaam bhi ho gay dhundhala gaye ankhain bhi meri
bhuulanewaale main kab tak tera rasta dekhoun
sab zidein us ki main puuri karoun har baat sunoun
ek bachche ki tarah se usay hansta dekhoun
mujh pe chha jaaye wo barasaat ki Khushbu ki tarah
ang ang apanaa usi rut mein mahakataa dekhoun
tuu merii tarah se yaktaa hai magar mere habib
je mein aataa hai koi aur bhi tujh saa dekhoun
main ne jis lamhe ko puujaa hai use bas ek baar
Khwaab ban kar teri ankhoun main utarataa dekhoun
tu meraa kuchh nahi lagataa hai magar jaan-e-hayaat
jaane kyoun tere liye dil ko dhadakata dekhoun
next AHMED FARAZ
Shola tha jal bujha hon hawaein mujy na do
may kb ka ja chuka hon sadaen mujy na do
jo zehr p chuka hon tmhi ne dia mujy
ab tm to zindagi ki duaen mujy na do
ye bhi bara karam hay salamat hay jism abi
ay khusrwan-e-shehr kabaen mujy na do
aisa na ho kbi palat kr na a skon
hr bar door ja k sadaen mujy na do
kb mujhko aitraaf e muhabbat na tha FARAZ
kb may ne ye kaha k sazaen mujy na do
next Amjad Islam Amjad
yahi bahut hai ke dil us ko Dhoondh laya hai
kisi ke saath sahi vo nazar tu aya hai
karoon shikayatien takta rahoon ke pyar karoon
gaye bahar ki soorrat vo laut aya hai
woh samney tha magar ye yaqeen na ata tha
woh app hai ke meri Khahishoon ka saya hai
azab hein ke kaisey hein barishein kya hein
faseel-jism giri jub tu hosh aya hai
main kya karoon gan agar woh na mil saka 'Amjad'
abhi abhi mere dil mein Khayal aya hai
next noshi gillani