abhii kyaa kahe.n abhii kyaa sunaaye.n
ke sar-e-fasiil-e-sukuut-e-jaa.N
kuf-e-roz-o-shab pe sharar numaa
vo jo harf jarf charaaG thaa
use kis havaa ne bujhaa diyaa
kabhii lab hile.nge to puuchhanaa
sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil
vo jo nikahato.n kaa hujuum thaa
use dast-e-mauj-e-firaaq ne
tah-e-Khaak kab se milaa diyaa
kabhii gul khile.nge to puuchhanaa
abhii kyaa kahe.n abhii kyaa sunaaye.N
yuu.N hii Khvaahisho.n ke fishaar me.n
kabhii be-sabab kabhii beKhalal
kahaa.N kaun kis se bichha.D gayaa
kise kis ne kaise ga.Nvaa diyaa
kabhii phir mile.nge to puuchhanaa
Parven shakir