Good Nice Work
Keep Posting
LAFZ FARYAADEE MEI TAHREER KA
Muntazir kab se tahayyur hai terii taqariir kaa
Baat kar tujh par gumaan hone lagaa tasveer kaa
Raat kyaa soye ke baaqii umr kii neend ur gayi
Khwaab kya dekhaa ke dharakaa lag gayaa taabeer ka
Jaane tuu kis aalam main bichara hai ke tere baghair
Aaj tak har lafz fariyaadee meri tahreer kaa
Jis tarah baadal kaa saayaa pyaas bharakaataa rahe
Main ne wo aalam bhi dekhaa hai teri tasveer kaa
Kis tarah payaa tujhe phir kis tarah khoyaa tujhe
Mujh sa munkir bhi to qayel ho gayaa taqdeer kaa
Ishq main sar phorana bhi kyaa ke ye be-meher log
Juu-e-Khooun ko naam dete hain juu-e-sheer kaa
Jis ko bhi chahaa use shiddat se chahaa hai 'Faraz'
Hanooz silsilaa Tootaa nahin dard kii zanjeer kaa
Last edited by shaan; 19-04-2008 at 10:17 PM.
Good Nice Work
Keep Posting
Jis ko bhi chahaa use shiddat se chahaa hai 'Faraz'
Hanooz silsilaa Tootaa nahin dard kii zanjeer kaa
Dil Ko Choo Gaye Ye Word
Salam
Thanks Doston