-
Har Ik Sitam par...
Har ik sitam pe faqat maa'il -e- dua hona
Likha gaya hai ab iss shehr ka fana hona
Kharre hein ab to wujood -o- adam ki sarhad par
Bas ik laghzish -e- paa par hai faisla hona
Jo aadmi bhi mukammal na ban sakey thay abhi
Unhein bhi ab to muyassar hua khuda hona
Tamam shehr ki aankhen hein intizaar zada
Inhi dinon mein hai phir koi haadsa hona
Kisi mundair pe nazrein, na chilmanon pe nigaah
Ke dil hi bhool gaya ab to mubtala hona
Kabhi anaa ki faseelain, kabhi zameer ka touq
Ye umr -e- qaid hai iss se kahan reha hona
Hazaar saans ki dori ulajh hi jaaye "SHAM"
Kabhi na apni tamanna ki intiha hona.
Mehmood Sham
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules