KYA KARE KOI DOSTI MUJH SE
ishq ki jab khataa huee mujhase
zindagi toot kar mili mujhase
nigahe-naaz teri kuchh e dost
kah rahi thi abhi-abhi mujhase
laakh batain thin kahane karne ki
n huee ek baat bhi mujhase
aour to aashqi men kya milta
apni hasti bhi chhin gayi mujhase
kar nazar ki isi tarah takmil
kabhi aouron se mil kabhi mujhase
n milega tujhe koi mujha-sa
hain kahan aaj aadmi mujhase
jisko khoone-jigar se paalaa tha
chhin gayi kyon vo zindgi mujhase
raat-din maut ki duaaen hain
nibh chuki rasme-dosti mujhase
main khud apna hi dost kab hun 'firaq'
kya kare koi dosti mujhase