Asalam.o.Alaikum
Sub Ne Bhot Piyari Naat Share Ki ...Ab Polling Hai
Rules:
1.Apni Shamil Kiye Gaye Naat Ko vote Nahi Cast Karsakte..
2.sirf Aik he Naat ko vote diya jasakta hai.
3.voting ki last date 12 March Hai.
Asalam.o.Alaikum
Sub Ne Bhot Piyari Naat Share Ki ...Ab Polling Hai
Rules:
1.Apni Shamil Kiye Gaye Naat Ko vote Nahi Cast Karsakte..
2.sirf Aik he Naat ko vote diya jasakta hai.
3.voting ki last date 12 March Hai.
DaNgErOuS tEaRs
Un Kee Mehek Nay Dil Kay (Gh)un(ch)ay Khilaa Diyay Hai(n)
Jiss Raah (Ch)al Gayey Hai(n) Koo(ch)ay Basaa Diyay Hai(n)
Jab Aagayee Hai(n) Josh-e-Rehmat Pay Unkee Aankhei(n)
Jaltay Bujhaa Diyay Hai(n) Routay Hassa Diyay Hai(n)
Aanay Dou Ya Dey-Bow-Dou Ab Tou Tumharee Jaanib
Kashtee Tumhee Pay Chor-ee Lungar Uthaa Di-Yay Hai(n)
Allah! Kiya Ja-Hun-Num Ab Bhee Naa Sard Hoga
Rou Rou Kay Mustafa Nay Darya Ba-Ha Diyay Hai(n)
Mayray Kareem Say Gar Qatra Kissee Nay Maanga
Darya Ba-Ha Diyay Hain Durbay Ba-Ha Diyay Hai(n)
Unkay Nisaar Ko-ee Kaesay Hee Runj Mey(n) Ho
Jab Yaad Aagayay Hai(n) Sub (Gh)am Bhulaa Diyay Hai(n)
Mulk-e-Su(kh)an Kee (Sh)ahee Tum Ko Raza Musallam
Jiss Symt Aagayay Ho Si(kk)ay Bith-aa Diyay Hai(n)
.:.Sachii Dosti Community.:. - Unki Mahek Nay Dil Ke- BEAUTIFUL!! Owais Raza Qadri x
naz
Aane walon yeh to batao
shehr madina kaisa hai
sar un k qadmon main rakh ker
jhuk kr jeena kaisa hai
Gumbad-e-khazra k saye main bhet k tum to aye ho
us saye main rab k agay sajda karna kaisa hai
aane walon yeh to batao
shehr madina kaisa hai
dewano aankhon se tumhari itna puch to lene do
waqt dua roze pe un k aanso bahana kaisa hai
aane walon yeh to batao
shehr madina kaisa hai
Dil aankhein or rooh tumhari lagti hai seerab mjhe
dar pe un k bhet k abe zam zam peena kaisa hai
Aane walon yeh to batao
shehr madina kaisa hai
waqt rukhsat dil ko apne chor wahan tum aye
yeh batlao ishrat un k dar bicharna kaisa hai
Aane walon yeh to batao
shehr madina kaisa hai
sar un k qadmon main rakh ker
jhuk kr jeena kaisa hai
Aane walon yeh to batao
shehr madina kaisa hai
.:.Sachii Dosti Community.:. - NAAT AANE WALON YEH TO BATAO.... ABDUL RAUOF ROFI
Hijab
Zameen meli nahi hoti zaman mela nahi hota
Mohammad kay ghulamo ka khafan mela nahi ho ta
Jo naamay Mustafa choomay nahi dukhti kabhi ankhain
Pehenle pyar jo unka badan mela nahi hota
Muhabat kamli waley se woh jazba hay suno logon
Ye jis man main saman jai woh man mela.nahi hota
Nabi ka daamane rahmat pakarlo ay jahanwalo
Rahay jab tak ye hahthon main chalan mela nahi hota
~*Heer*~
Koi saleeqa hai aarzoo ka, na bandagi meri bandagi hai
Yeh sab tumhara qaram hai aaqa keh baat ab tak bani hui hai
Kissi ka ehsan kyon uthain, kissi ko haalat kyon batain
Tumhein se mangein gey tum hi do gey, tumhare dar se hi loo lagi hai
Ata kiya mujh ko darde-ulfat, kaha thi yeh pur khata ki qismat
Mein iss karam ke kaha tha qabil, huzur ki banda parwari hai
Shoor o fikro nazar ke dairey, had ka in se barh na paain
Na choo sake un balandiyon ko, jaha maqame Muhammadi hai
Tajaliyon ke kafeel tum ho, murad tu ke khalil tum ho
Khuda ki roshan dalil tum ho, yeh sab tumhari hi roshni hai
Bashir kahiye nazir kahiye, unhein siraje munir kahiye
Jo sar ba sar hai kalam-e-rabbi, woh merey aaqa ki zindagi hai
Ammal ki merey asas kiya hai, bajuz nadamat ke paas kiya hai
Rahe salamat tumhari nisbat, mera to ek aasra yehi hai
Hai Qaaba bhi marja-e-khalaiq, bohat numayan hai yeh haqaiq
Magar jo maqsoode-e-aashqi hai, huzur ke dar ki haazri hai
Yehi hai khalid asas rehmat, yehi hai khalid bina-e-azmat
Nabi ka irfan zindagi hai, nabi ka irfan bandagi hai
Yeh sab tumhara qaram hai aaqa, keh baat ab tak bani hui hai
.:.Sachii Dosti Community.:. - Yeh Sub Tumhara Karam Hai Aqqa
zoya khan
sheem
Faslon ko Takalluf Hai humse Agar - Qari Waheed Zafar Qasmi
{Faslon ko takalluf hai hum se agar,
hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door se
Raaste mein agar paon tak jayengey } 2
Hum Madine mein tanha nikal jayengey
Aur galiyon mein kus dun batak jayengey (2)
Hum wahan jakey wapas nahin ayengey
Doond te doondte log tak jayengey (2)
Jaise hi sabz Gumbad nazar ayega
Bandagi ka kareena badal jaye ga (2)
Sar juka ne ki fursat miley gi kisey
Khud hi palkon se sajdey tapak jayengey (2)
Naamey Aaka jahan bhi liya jayegaEh Madiny ke zahi Khuda ke liye
Zikr unka jahan bhi kiya jayega (2)
Noor hi noor seeno mein bhar jayega
Sari mehfil mein jalwe lapak jayegey (2)
Daastaane safar mujko yumad suna (2)
Baat bhar jayegi, dil tarap jayega
Mere mohtat aasoo chalak jayege (2)
Unki chashme karam ko hai iski khabarFaslon ko takalluf hai hum se agar,
Kis musafir ko hai kitna shaukey safar (2)
Hum ko Iqbal jab bhi ijazat mili,
Hum bhi Aaka ke darbar tak jayegeney (2)
hum bhi bebas nahin besahara nahi.
Khud unhi ko pukarengey hum door se
raaste mein agar paon tak jayengey
.:.Sachii Dosti Community.:. - Faslon ko Takalluf Hai humse Agar - Qari Waheed Zafar Qasmi
mufliha
Main behk sakoon yeh majal kia mera rahnuma koi aur hai -
Mujhay khoob janlain manzilain yeh shikusta paa' koi aur hai -
Jo tumhari jali se mutassil -
Hai sutoon kay peechay khajil khajil
Jo tumhari jali se mutassil hai sutoon kay peechay khajil khajil
Nahi main nahi who mareez-e-dil na meray siwa koi aur hai -
Meri iltija hai yeh doo'ston kabhi tum jo soo-e-haram chalo -
To banakay sir ko qadam chalo kay yeh raasta koi aur hai -
Hai tujhay khaber shahe ee'no aan meri wajherahat-e-qalb-o-jan-
Na teray siwa koi aur tha na teray siwa koi aur hai -
Yeh guman tha kai saa'l say yeh yaqeen hai kai roze say -
Meray dil say gunmbad-e-subz ka yeh mamla koi aur hai -
Who Habib-e-rubbayKarim hai who Raoof hai who Rahim hai -
Unhain fikr hai meri aap ki unhain chahta koi aur hai -
Main jo door arz-e-haram' se tha hoi khuld-e-gosh haseen sadaa-
Hai is hi main majid-e-baynawaz kay yeh qafla koi aur hai -
Main behk sakoon yeh majal kia mera rahnuma koi aur hai
Mujhay khoob janlain manzilain yeh shikusta paa koi aur hai.
~*Rano*~
Lagiyan Nay Mouja Hun
Layi Rakhien Sonyaa
Lagiyan Nay Moujan Hun
Layi Rakhien Sonya
Changay Haan K Manday Haan
Changay Haan K Manday Haan
Nibhayi Rakhien Sonya
Aqa Day Gulama Da Main Adna Gulam Haan
Loki Kenday Khaas Main Aaama tun V Aaam Haan
Aqa Day Gulama ..........
Parda Jay Paya ee Tay Payien Rakhien Sonya
Changay Haan K Manday Hain
Nabhayi Rakhien Sonya
Lagiyan nay Moujan
Hasar Dharay Jaad Amlan Nu Tool Na
Sharam Day Maray Main Tay Kuj V Nai Bolna
Hasar Dharay.............
Sharam Day Maray..............
Daman Ich Apnay Lukayi Rakhi Sonya
Daman..................................
Changay Haan K................
Lagiyan nay Moujan
Kisay Nu Main Apna Dukhra Sunaya Nai
Tere Baajon Kisay Menu Seenay Naal Laya Nai
Kisay Nu Main Apna.......
Tere Baajon.........
seenay Naal Laya Ee Tay Layi Rakhien Sonaya
Changay Haan K Manday Haan
Nibhayi Rakhien ....
Lagiyan nay Mouja
Naa Tera Lay K Aaqa Shaan Main V Payi Aye
Tere Haath Door Saiyan Aapiye Tun Cherhayi Aye
Naa Tera...........
Tere Haath.......
Cheri Hoyi Guddi Nu Cherhayi Rakhien Sonya
Changay Haan K Manday Haan
Nibahayi Rakhien Sonya
Lagiyan nay Mujan
Ziya Teri Aaal Da Adna Gulam Aye
Aday Nalon Waad Hor Lena Ki Inaam Aye
Yaa Rus ul Allah
Ziya Teri Aaal...........
Aday Nalon.............
Banya Gulam Main Tay Banayi Rakhi Sonya
Changay Haan K Manday Haan
Nibhayi Rakhi Sonya...
Lagiyan Nay Moujan...........
*Lucky*
Paras
~*guria*~
Zahir Ki Ankh Se Na Tamasha Kare Koi
Ho Dekhna To Deeda-E-Dil Wah Kare Koi
Parh Bethay Kiya Samajh Ker Bhala Toor Per Kaleem
Takkat Ho Deed Ki To Taqaza Kare Koi
Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon
Sarapa Faqr Hoon, Ijz-O-Nadamat Saath Laya Hoon
Bhikari Woh Ke Jis Ke Paas Jholi Hai Na Payala Hai
Bhikari Woh Jisey Hiras-O-Hawas Ne Maar Daala Hai
Mata-E-Deen-O-Danish, Nafs Ke Hathon Se Lutwa Ker
Sakoon-E-Qalb Ki Daulat Hawas Ki Bhent Charha Ker
Lutta Ker Sari Poonji Ghaflat-O-Issyan Ki Daldal Mein
Sahara Lene Aya Hoon Tere Kaabay Ke Aanchal Mein
Gunahon Ki Lipatt Sey, Kaynat-E-Qalb Afsurda
Iraaday Muzmehehal, Himmat Shikasta Hoslay Murda
Kahan Se Laoon Takat Dil Ki Sachi Tarjumani Ki
Ke Kis Jhanjhal Mein Guzri Hein Ghariyan Zindagani Ki
Khulasa Ye Ke Bass Jull Bhun Ker Apni Roo-Sayahi Sey
Sarapa Faqr Ban Ker Apni Haalat Ki Tabahi Sey
Tere Darbar Mein Laya Hoon Apni Ab Zaboon-Haali
Teri Chokhat Ke Laeq Har Amal Se Hath Hein Khali
Ye Tera Ghar Hai Ye Tere Mehr Ka Darbar Hai Maula
Sarapa Noor Hai, Ik Mohbat-E-Anwaar Hai Maula
Teri Chokhat Ke Jo Adab Hein, Main Unn Se Khali Hoon
Nahi Jis Ko Saleeqa Manganey Ka, Woh Sawali Hoon
Subah Ghalt-E-Nadamat Dil Ki Na'kas Tarjumani Per
Khudaya Reham Meri Iss Zaban-E-Ijz-Zabani Per
Ye Ankhein Khushk Hein, Ya Rabb Inhein Rona Nahi Aata
Sulagtay Daagh Hein Dil Mein Jinhein Dhona Nahi Aata
Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon
Sarapa Faqr Hoon, Ijz-O-Nadamat Saath Laya Hoon
Sarapa Faqr Hoon, Ijz-O-Nadamat Saath Laya Hoon.
~*~Mehar~*~
Mere Aaqa Aao ke muddat hoi hai
Teri rah mein Akhiyan bichate bichate
Teri hasratoon mein Teri chahatoon mein
Bare din huway ghar sajate sajate
Yeh dil jab se Ishq e Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) mein para hai
Na din ki khabar he na shab ka pata hai
Ab tu basarat bhi kum ho gayee hai
Tere gham mein aansu bahate bahate
Na Ka’abe se matlab na Masjid ki chahat
Faqat dil mein Hakim tamanna yehi he
Jo mil jaaye Naqsh e kafe Pa’ay Ahmed
Tu mar jaaein sar ko jukate jukate
Mere lab pe Mola na koi sadaa hai
Faqat iss nikamme ki yehi dua hai
Meri sanse nikle dar e Mustafa (Sal Allaho Alehi Wasallam) pe
Gham e dil Nabi(Sal Allaho Alehi Wasallam) ko sunate sunate
Mera yeh he Imaan, ye mera yaqeen he
Mere Mustafa sa na koi Haseen he
Ke Rukh un ka dekha he jab se Qamar ne
Nikalta he munh ko chupate chupate
Qiyamat ka manzir bara pur khatar hai
Magar Mustafa ka jo diwana ho ga
Woh pul se guzar ja’ay ga wajd karte
Na’ra Nabi ka lagate lagate
Mere Aaqa Aao ke muddat hoi hai
Tere rah mein Akhiyan bichate bichate
Teri hasratoon mein Teri chahatoon mein
Bare din hova ghar sajate sajate.
Geo
meytah meytah hai merey muhammed ka namm
un pe lakoon karoon darood o salaam
waqt laa-yai darbar par
aur kahray ho raoza-e-sarkar par
paysh mill kar karay ham darood o salaam
wo hee hasanee husaynee chaman kay hain phool
nooray maula ali jaana zahra batool
jis kay naana rasoolay khuda zee makaam
shahay kowain wo rouhey daarayna wo
fakharay hasanain wp ghous-e-sakalayn wo
jis kay dar kaa hai haafiz bee adana gulaam
un paa lakoon karoon darood o salaam
meytah meytah hai mera muhammed ka naam
meytah meytah hai mera nabeejee ka naam
meytah meytah hai mera aaqa ka naam
meytah meytah hai mera murashadee ka naam
meytah meytah hai mera sayadee ka naam
meytah meytah hai mera muhammed ka naam
mettah meytah hai mera muhammed ka naam.
Arslan
Gur!ya
Apnay AAQA (PBUH) Kay Sana Khowano Main Paya Jao
Aarzoo Ye Hay MADINA Main Bulaya Jao
Kaash Mujh Ko DAR -E- AQDAS Ki Hazori Mil Jaye
Or SARKAAR (PBUH) Kay Qadmo Main Bethaya Jao
Un (PBUH) Ki Rehmat Hai Wasee Itni Ajab Kia Hay Ager
Main Bhi SARKAAR (PBUH) Ki Kamli Main Chupaya Jao
Itbah Main Teray MEHBOOB (PBUH) Ki Kamil Ho Kar
Sar -e- Mehshar Main Teray Saamnay Laaya Jao
Zindagi Sari Basar Ho Tu Usi Shaher Main Or
Mar Bhi Jao Tu MADINA Say Na Laaya Jao
Jis Nay Choomay Hain Qdam RAHMAT -E- AALAM (PBUH) Kay Kamaal **
Roz -e- Mehshar Usi Mitti Say Utha Jao ....
jaanoo
UN KE DAR KA GADA HOON
main to khud un ke dar ka gada hoon
apnay aaqa ko main nazer kia doon
ab to ankhoon main bhi kuch nahi hai
werna qadmoon main ankhain bicha doon
aanay wali hai un ki sawaari
phool naaton k gher gher saja doon
meray ghar main andhaira bohut hai
apni palkon ki shemmain jala doon
roza e paak paish e nazer hai
saamnay meray aaqa ka dar hai
mujh ko kia kuch nazer a raha hai
tum ko lafzoon main kaisay bata doon
bay nigahi peh meri na jaayain
deedawer meray nazdeek aayain
main yehin say madina dikha doon
daikhnay ka saliqa sikha doon
meri jholi main kuch bhi nahi hai
mera ser maya hai to yehi hai
apni ankhoon ki chandi baha doon
apnay mathay ka sona luta doon
ik yehi arzoo rah gaii hay
un ke dar tak ho meri resaii
apni paishani us dar peh rakh doon
saari dunya ko phir main bhula doon
qaflay ja rehay hain madinay
aur hasret say main tak raha hoon
ya lipat jaoon qedmoon say un ke
ya kaza ko main apni sada doon
meray ansoo bohet qeemeti hain
in say wabesta hain un ki yaadain
in ki manzil hai khak-e-madina
yeh goher yunhi kaisay luta doon
main faqat aap ko janta hoon
aur usi dar ko pehchanta hoon
is andheray main kis ko pukaroon
app fermain kis ko sada doon
meri bakhshish ka saman yehi hay
aur dil ka bhi arman yehi hay
ik din un ki khidmet main ja ker
un ki naatain unhi ko suna doon
mujh ko iqbal nisbet hay un say
jin ka her lefz jaan-e-sukhen hay
main jahan naat apni suna doon
sari mehfil ki mehfil jaga doon.
voted
voted
Sub Ki MASHALLAH Bohot Zabardast Sharing Hai
Decide Karna Mushkil Hai