Paras
~*guria*~
Zahir Ki Ankh Se Na Tamasha Kare Koi
Ho Dekhna To Deeda-E-Dil Wah Kare Koi
Parh Bethay Kiya Samajh Ker Bhala Toor Per Kaleem
Takkat Ho Deed Ki To Taqaza Kare Koi
Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon
Sarapa Faqr Hoon, Ijz-O-Nadamat Saath Laya Hoon
Bhikari Woh Ke Jis Ke Paas Jholi Hai Na Payala Hai
Bhikari Woh Jisey Hiras-O-Hawas Ne Maar Daala Hai
Mata-E-Deen-O-Danish, Nafs Ke Hathon Se Lutwa Ker
Sakoon-E-Qalb Ki Daulat Hawas Ki Bhent Charha Ker
Lutta Ker Sari Poonji Ghaflat-O-Issyan Ki Daldal Mein
Sahara Lene Aya Hoon Tere Kaabay Ke Aanchal Mein
Gunahon Ki Lipatt Sey, Kaynat-E-Qalb Afsurda
Iraaday Muzmehehal, Himmat Shikasta Hoslay Murda
Kahan Se Laoon Takat Dil Ki Sachi Tarjumani Ki
Ke Kis Jhanjhal Mein Guzri Hein Ghariyan Zindagani Ki
Khulasa Ye Ke Bass Jull Bhun Ker Apni Roo-Sayahi Sey
Sarapa Faqr Ban Ker Apni Haalat Ki Tabahi Sey
Tere Darbar Mein Laya Hoon Apni Ab Zaboon-Haali
Teri Chokhat Ke Laeq Har Amal Se Hath Hein Khali
Ye Tera Ghar Hai Ye Tere Mehr Ka Darbar Hai Maula
Sarapa Noor Hai, Ik Mohbat-E-Anwaar Hai Maula
Teri Chokhat Ke Jo Adab Hein, Main Unn Se Khali Hoon
Nahi Jis Ko Saleeqa Manganey Ka, Woh Sawali Hoon
Subah Ghalt-E-Nadamat Dil Ki Na'kas Tarjumani Per
Khudaya Reham Meri Iss Zaban-E-Ijz-Zabani Per
Ye Ankhein Khushk Hein, Ya Rabb Inhein Rona Nahi Aata
Sulagtay Daagh Hein Dil Mein Jinhein Dhona Nahi Aata
Ilahi Teri Chokhat Per Bhikari Ban Ker Aya Hoon
Sarapa Faqr Hoon, Ijz-O-Nadamat Saath Laya Hoon
Sarapa Faqr Hoon, Ijz-O-Nadamat Saath Laya Hoon.
~*~Mehar~*~
Mere Aaqa Aao ke muddat hoi hai
Teri rah mein Akhiyan bichate bichate
Teri hasratoon mein Teri chahatoon mein
Bare din huway ghar sajate sajate
Yeh dil jab se Ishq e Nabi (Sal Allaho Alehi Wasallam) mein para hai
Na din ki khabar he na shab ka pata hai
Ab tu basarat bhi kum ho gayee hai
Tere gham mein aansu bahate bahate
Na Ka’abe se matlab na Masjid ki chahat
Faqat dil mein Hakim tamanna yehi he
Jo mil jaaye Naqsh e kafe Pa’ay Ahmed
Tu mar jaaein sar ko jukate jukate
Mere lab pe Mola na koi sadaa hai
Faqat iss nikamme ki yehi dua hai
Meri sanse nikle dar e Mustafa (Sal Allaho Alehi Wasallam) pe
Gham e dil Nabi(Sal Allaho Alehi Wasallam) ko sunate sunate
Mera yeh he Imaan, ye mera yaqeen he
Mere Mustafa sa na koi Haseen he
Ke Rukh un ka dekha he jab se Qamar ne
Nikalta he munh ko chupate chupate
Qiyamat ka manzir bara pur khatar hai
Magar Mustafa ka jo diwana ho ga
Woh pul se guzar ja’ay ga wajd karte
Na’ra Nabi ka lagate lagate
Mere Aaqa Aao ke muddat hoi hai
Tere rah mein Akhiyan bichate bichate
Teri hasratoon mein Teri chahatoon mein
Bare din hova ghar sajate sajate.