Suno! Naraz ho hum Say
Magar hum Khud Wo hain Jin Ko
Manana Bhi Nahi Aata
Kisi Se Kabhi hum Ne mohabbat Jo Nahi Ki hai
muhabbat Kis Trah hOti hAi
hUmare Shehar K Itraaf Mein to Pehra Tha Sakht Khizaoun Ka
Is Shehar e PreShaan Ki Faseelien Ladii Thi Zard Bailoun Se
In Mein Na to Khusboo Thi
Na koi Phool tum jAisa
K Mehak Uthe humare Deed e Dil Jis Ki KhUSboo Se
hUm Is Shehar Ki Veraan Galiyoun Mein
Eik Sookhe hoye Patte Ki Manind They
K Zalim Hawa jAb hum Par Apne Qadam Rakhti
tO Us K Paaoun K NeeChey hUmara Dam Nikal jAta
Magar Suna hAi
Patjhar Ka wO musam Tal Chka Ab tO
Magar Jo Haar hOna Thi So wO hO ChUkki hUm Sey
Suno !
Haarey hoye logo Say yun Rotha Nahi Karty....!!