muhabat moajza ker de

muhabat moajza ker de
mere sehn e hunar main
rooshni kerte khayaloon ki talawat se
mere shair o sukhan main
harf o maani ki hakayat se
uusay bhi aashna ker de
muhabat moajza ker de

faseel e dill pe likhi dard ki pinhaan ibaarat se
muhabat ko badan ki aakhri saanson ki had tak
nibha dene ki aadat se
uuse bhi aashna ker de
muhabat moajza ker de

sar e mizgaan chamaktay aansoo.oon kii jugmagaahat se
pas e garya meri jalti howi aankhon ki hidat se
sawaal e wasl se mehroom hontoon per
dua e shab ki hurmat se
uuse bhi aashna ker de
muhabat moajza ker de

aazab e tashnagi sehti howi saanson ki wehshat se
mere jazboon ki shidat se
mere harf e muhabat se
meri tanha musafat se
uuse bhi aashna ker de
muhabat moajzaa ker de