Lafz, Pass_e_Lafz
Jo ham boltay hain, roltay hain
Kon sa lafz hai kholay ga jo dar maani ka
Iss ka pata kon karay?
Tum to Khushbu ho, Sitaaron ki guzargaah ho tum
Tum kahan aao gai iss dasht-e-purasrar ki pehnai main
Kaise utro gai tamannaon ki gehrai mai
Reh gaya main
So aye Jaan_e_Wafa
Mai to jo kuch hoon tumharay hi Kham_e_Chashm se hoon
Tum hi jab lafz, Pass_e_Lafz se aagah nahi
Kis tarah sehr-e-mafaheem ko darwaza khulay
Lafz ki kookh main taseer kahan se utray
Tum meray saath ho, Humraah nahi
Kon se khuwaab ke jagmag main nihaan hain ham tum
Kaise Girdaab_e_Tamanna mai rawaan hain ham tum
Lafz ka paar jo daikhain to koi raah nahi
Aur tum lafz,Pass_e_ Lafz se aagaah nahi