KUCH KAHO NA
Rastaa hai jaanaa pehchanaa .
Kuchh pal saath chale to jaanaa,
Saanso ko sur de jaataa hai,
Tera yon sapano main aanaa.
Maine jatan kiye to lakhon
Mann ne meet tumhi ko maanaa
Ab to haath thhaam lene do
Aur kaho na , na na , na na !
Kuchh kaho na !
Sau janam ka saath apna,
Sans ka dhadkan se jaise,
Aas ka jeevan se jaise,
Kaise kate saal solah,
Shyam ki jogan ke jaise.
Jhoot ke parde na dhoondo,
Sach kaho na .
Kuchh kaho na ..
Ek dooje ke liye ham,
Haath main kangan ke jaise,
Pyaas main sawan ke jaise,
Roop ko darpan ke jaise,
Bhakt ko bhag_van ke jaise.
Jheel si simtee na baitho,
Kuchh baho na .
Kuchh kaho na ..
Jaanata hoon thak gayee ho,
Umr ke lambe safar se,
Saanp se dasate shahar se,
Aas se aur aansuon se,
Bheed ke gahare bhawanar se.
Waqt firata hai suno,
Itna daro na .
Kuchh kaho na ..
Kis tarah ladatee rahi ho,
Pyaas se parchhaiyon se,
Neend se , angadaiyon se,
Maut se aur zindagi se,
Teej se ,tanahaiyon se.
Sab tapasya tod dalo,
Ab saho na
Kuchh kaho na !!
Syaah sannaton main hamane,
Umr katee hai tanhaa,
Tang aur andhi surangen,
Is gufaa se us gufaa.
Saans thi sahami hui si,
Dhadakanon ko ek darr,
Itnaa tanhaa aur lambaa,
Zindgi ka uff safar.
Door meelon door jalati ,
Lau koi lagatee ho tum ,
Tum ho,tum ho,Tum hi tum ho ,
Ho naa tum, tum, ho naa tum.
Pal se pal tak jee rahe hain,
Tum hi pal pal aas ho na,
Ek pal to aur thaharo ,
Ek pal dikhati raho na .
Kuchh kaho na !!