Results 1 to 6 of 6

Thread: Koi Apna Nahi Banta

Hybrid View

Previous Post Previous Post   Next Post Next Post
  1. #1
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    HEART
    Posts
    5,627
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    96 Thread(s)
    Rep Power
    21474858

    Default Koi Apna Nahi Banta

    Koi apna nahi banta

    Labon pay naam rakhnay say
    Dilon main yaad karnay say
    Har ik dharkan, har ik tarpan
    Kisi ke naam karnay say

    Koi apna nahi banta...!!!

    Tamam umar ki khushiyan
    Mohabbat ki sabhi ghariyan
    Kisi ko daan karnay say
    ke ...us pay maan karnay say


    Koi apna nahi banta ...!!!

    Woh pehlay piyar ki batain
    Fafaqat ki sabhi ratain
    Woh chahat ki sabhi rasmain
    Mohabbat ki sabhi qasmain
    Humaisha yaad rakhnay say


    Koi apna nahi banta ...!!!

    Kisi tanha akaili raah guzar par
    Puranay say kisi boorhay shajar par
    Patthar per koi dil bananay say
    apna or kisi ka naam sajanay say


    Koi apna nahi banta ...!!!

    Kay jab aankhain hi marr ja'ain
    To phir sapna nahin banta
    Yeh jeewan daaan kar ja'ain
    To bhi apna nahi banta


    Koi apna nahin banta...!!!
    Koi apna nahin banta...!!!


  2. #2
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    HEART
    Posts
    5,627
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    96 Thread(s)
    Rep Power
    21474858

    Default Ager Tum Milne Aa Jao

    AGER TUM MILNE AA JAO

    Tamanna phir machal jaaye,
    agar tum milne aa jao
    ye mausam hi badal jaaye,

    agar tum milne aa jao

    ye duniya bhar ke jhagre,
    ghar ke kisse kaam ki baatein
    bala har ek tal jaaye,

    agar tum milne aa jao

    nahin milte ho mujhse tum,
    to sab humdard hain mere
    zamana mujhse jal jaaye,

    agar tum milne aa jao

    mujhe gham hai ke maine,
    zindagi mein kuch nahin paaya
    ye gham dil se nikal jaaye,

    agar tum milne aa jao

    tamanna phir machal jaaye,
    agar tum milne aa jao


  3. #3
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    HEART
    Posts
    5,627
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    96 Thread(s)
    Rep Power
    21474858

    Default Haar Kar Bathay Hain

    HAAR KAR BATHAY HAIN

    Ae dost mat hans meri khuwahishon pe,
    Ke hum khud duniya se haar kar baithay hain,

    Zid thi jissey apna bananey ki kabhi,
    Hum usi shakhs ko gawan kar baithay hain,

    Mat pooch kya khuwaab sajaye thay humne,
    Ke hum unhin khuwabon ko bigar kar baithay hain,

    Guroor tha apne ishq par ke dard ko dhutkara tha kabhi,
    Ab aisi halat hai ke usi dard ko maat kar baithay hain,

    Pyaar ke dhokey mein tanhai ki raah chal diya tha mein,
    Ke ankhoan se bas aansun hi ab behtay hain,

    dhoka hua hai hamein, ab na leinge ishq ka naam,
    Rotey huey is dil mein ab bas yahi hum kehtey hain,

    Bulaley apne pass ya azzad karde is Ranj-o-Ghum se,
    Us khuda se hum ab yahi dua hum kartay hain


  4. #4
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    4,000
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    31 Thread(s)
    Rep Power
    21474857

    Default Re: Haar Kar Bathay Hain

    nice sharing

    2q0koia - Koi Apna Nahi Banta

  5. #5
    Join Date
    Apr 2008
    Location
    in dreamz
    Posts
    559
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474853

    Default Re: Koi Apna Nahi Banta

    wow nice sharing......








  6. #6
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    HEART
    Posts
    5,627
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    96 Thread(s)
    Rep Power
    21474858

    Default Re: Koi Apna Nahi Banta

    Thanks 2 both of u


Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •