-
Har aik muskorahat muskaan nahee hoote
Har aik muskorahat muskaan nahee hoote
Nafrat ho ya muhabbat assan nahe hoote
Ansoo khoshi ke gham ke hoote hai aik jesay
In ansowon ki koi pehchan nahe hoote
Aisay bhi aaty hai din jeety hai log lakin
Hota hai aor sab kuch par jaan nahi hoote
Har aik muskorahat muskaan nahee hoote
Nafrat ho ya muhabbat assan nahe hoote
Hotey hai is jahan mai chehry bhi aik jesay
Gongat bhi aik jessy sehry bhi aik jesay
Sab jante hai nazren pechan thi hai nazaren
Apni parrayi soorat anjaan nahi hoote
Har aik muskorahat muskaan nahee hoote
Nafrat ho ya muhabbat assan nahe hoote
Kya chez hai ya dil bhi ho jaey jab akhela
Rehtha hai sath iskey yadon ka aik meela
Duniya bhi choot jaey har aass toot jaey
Mehfal kabhi ya dil ki werraan nahi hoote
Har aik muskorahat muskaan nahee hoote
Nafrat ho ya muhabbat assan nahe hoote
Posting Permissions
- You may not post new threads
- You may not post replies
- You may not post attachments
- You may not edit your posts
-
Forum Rules