ufffff kine maze ki laging mujhe laker do
Maida..............................Aik cup
Tail.............................Aik khanay ka chamach
Aaloo..........................Aik Cup (Ublal Lein Aur Chotay Chotay Tukron mein Kaat Lein)
Aanaar..........................2 khanay k chamach
Safaid Chanay....................1 Cup
Tail (Oil)................Talne k liye
Imli Ki Chutni k Liye
Imli ka Guda...................1/2 Cup
Samundri Namak..........................1/2 Chaye ka chamach
Sabit Zeera...........................1 Chaye ka chamach
Dahi ..........................2 Cup
Namak........................... Hasb-e-Zaiqa
==========================================
Imli,Namak,Samundri namak,Zeerqa 'Dahi Mix ker k imlli ki chutni bana lein
Aur aik Traf rakh dein
Maiday ko tail(oil) k sath gundh lein
Is k Baad Bareeek Patli si roti Bail lein
Ab is ko choti gol papriyon mein kat lein
Tail garam kar k is mein Fry kar lein
aur sunhri ho jayein to nikal lein is ko thnada kar lei
ePapri chaat paish karnay se pehle aik Plate mein Papriyan tor ekr ya kaat ker dalein phir chanay Aaloo Kati hui piyaz dalein aur mix kariye phir jo imli ki chutni bnayi thi woh daal ker mix kariye aur hari mirchei bareek kaat ker daal dein Aakhir mein anar dana daal ker pais kariye
Aur agar papri theek na ban paye aap se to aik kaam karein main ne tajraba kiya aur kamyab raha aap na Bzar s eRoll pati magwa lo aur un roll pattis ko oil mein fry ker lo aur itna karo k woh brown ho jayein jaise k samosay hotay hain aur unhe utar lo thori der mein woh paper ki trah sakht ho jayein gay phir un ko tor tor ker as a papri use kar lo simple
ufffff kine maze ki laging mujhe laker do
yeh khud ki banaye hue pic hiana ?
naz api, yeh nazer nahi khanay mein b barray he mazy ki hai
yessssss...me ko ab lunch yaad aying
me ne baat karti u se ine maze ki lag rahe hai yeh or papri tu meko wiase he bhot paasand hai
mujhay b
wesay naz api kabhi khila b do na
u khilao me ku khilao
thnx sameera
mein kahin bar bana chuki hoon, its yummy..!!!
han tu khilaye ku nahi amiiiiiiiiiii sunti nahi hia baat