View Poll Results: Cast Ur Votes

Voters
15. You may not vote on this poll
  • naz

    0 0%
  • Hijab

    1 6.67%
  • sheem

    0 0%
  • Manoos Ajnabi

    1 6.67%
  • Geo

    5 33.33%
  • DaNgErOuS tEaRs

    2 13.33%
  • Paras

    3 20.00%
  • Silent Tears

    1 6.67%
  • jaanoo

    1 6.67%
  • ~*Rano*~

    1 6.67%
Page 1 of 2 12 LastLast
Results 1 to 10 of 16

Thread: Polling for Iqtbaas Competition March 09

  1. #1
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Polling for Iqtbaas Competition March 09

    Salam


    bht pyary iqtbaas share kiye sab nay is baar

    Jo Aap ko pasand aye usay vote day ...Apni sharing ko vote nhi day skty...

    Polling 28 March ko close ho gi ...
    Last edited by DaNgErOuS tEaRs; 23-08-2012 at 01:50 PM.

  2. #2
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling for Iqtbaas Competition March 09

    naz

    “Urooj her qoum her nasal ka khuwab hota hai…aur phir woh quomain jin per elhami kitabain nazil howi hoon…woh tou urooj ko apna haqq samjhti hain…magar kabhi bhi kisi qoum per urooj sirf is bina per nahi aaya…k isay aik kitab aur nabi daiy dia gia…jab tak us quom nai apnay amal aur aafaal sai urooj k liay apni ehliyat sabit nahi kar d woh kisi martaba, kisi maqam, kisi fazeelat k qabil nahi thehrain….musalman quom ya ummat k sath bhi aisa hota raha hai aur ho raha hai…in ka masla yeh hai k in k aalaa tabqat ta’eesh aur nafs parasti ka shikar hain…yeh doonoon cheezain waba ki terha hoti hain…aik sai dosray, dosraay sai teesray…aur phir yeh silsala rukta nahi”usay wahan kharay in nachti howi ortoon aur mardoon k hajoom ko daikhtay howay bayekhtiyar dr. Subat Ali ki batain yaad aanay lageen.

    “Momin aayash nahi hota na tab jab woh rayaya hota hai na tab jab woh hukmaran hota hai….us ki zindagi kisi janwar ya keeray ki zindagi jaisi nahi hooti….khana peena…apni nasal ko aagay barhana..aur fana hoo jana…yeh kisi janwar ki zindagi ka andaz tou ho sakta hai..magar kisi musalman ki nahi”

    By Umera Ahmed



    Hijab


    Ye Samandar Ki Terha Hai - Wasee aur Be-payaan .. Jis Ka Sirf Aik hi Kinara Hai .. Aik Sahiil.. Jahan Ronqain Hain ...Mailay Hain .... Cheragaan Hain Hajoom Hai .... Tenhaiyaan aur Udasiyaan Bi Hain... Dosray kinaray ki Ksisi Ko Khabar Nahi ... Jo Log Dosray Kinaray Ki Khabar Lenay Gaey Hain Abi Tak Lotay Nahi ...Is Tarf Rang Hi Rang Hain ... Nairang Hai aur Dosri Tarf Be-rang aur Sirf Aik Hi Rang....Kon Janay Azal Say Abad Tak....Kon Janay ... Azal Say Abd Tak Ya Azal Say Pehlay Aur Abd kay Baad Bi Zindagi Hi Hai....Takhleeq Honay Say Pehlay Ye Khaliq Kay Iraday Main Zinda Thi aur Takmeel Kay Baad Ye KHALIQ kay Ro Ba Ro Hazir Kr Di Jaey Gi .....ZINDAGI BERHAL ZINDAGI HI RAHY GI ....

    Zindagi (Hazrat Wasif Ali Wasif)

  3. #3
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling for Iqtbaas Competition March 09

    sheem

    1191jpeg - Polling for Iqtbaas Competition March 09

    Manoos Ajnabi

    16a88s8 - Polling for Iqtbaas Competition March 09


    Geo



    i981948517777 - Polling for Iqtbaas Competition March 09



  4. #4
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling for Iqtbaas Competition March 09

    DaNgErOuS tEaRs


    ZINDAGI MA HUM KABHI NA KABHI US MAKAM PER AA JATEY HAIN JAHAN SAREY RISHTEY KHATUM HO JATEY HAIN,

    WAHAN SIRF HUM HOTEY HAIN AUR "ALLAH" HOTE HEY KOI MAAN BAAP, KOI BEHAN BHI, KOI DOST NAHI HOTA.

    PHIR HUMAIN PATA CHALTA HEY K HUMAREY PEROUN(FOOTS) K NECHAY ZAMEEN HEY NA HUMAREY SIR K UPER KOI AASMAN,
    BS
    SIRF AIK "ALLAH" HEY JO HUMAIN IS KHALA(SPACE) MA B THAMEY HUEY HEY PHIR PATA CHALTA HEY HUM
    ZAMEEN PER PARI MITTI K DHER MA AIK ZAREY,

    YA DARAKHT(TREE) PER LAGEY HUEY AIK PATEY(LEAF) SE ZIADA KE OQAT NAHI RAKHTY , PHIR PATA CHALA HEY K HUMAREY HONEY AUR NA HONEY SE SIRF HUMAIN FARAK PERTA HEY,

    SIRF HUMARA KIRDAR KHATUM HO JATA HEY. KAINAAT(UNIVERSE) MA KOI TABDELI NAHI AATI KISI CHEEZ PER KOI ASAR NAHI PERTA"

    SAALAR KO APNEY SEENAY MA AJEEB SA DARD MEHSOOS HO RAHA THA US NE BEHTAY HUEY PANI KO MOUN MA DALA USEY AIK BAR PHIR UBKAI AYE


    "US K BAAD HUMARI AQAL THIKANEY AA JATI HEY"

    WOH IS AWAZ KO APNEY ZEHAN SE JHATAKNE KE KOSHISH KER RAHA THA. USEY HERANI HO RAHI THEE K WOH US KO IS WAQT KYUN YAAD AYE THEE.

    Umaira Ahmed k Novel Peer-e-Kamil se.





    Paras



    zindagi 2 - Polling for Iqtbaas Competition March 09




  5. #5
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling for Iqtbaas Competition March 09

    Silent Tears


    Gham Aur Muskurahat Is Liye Nahin Hote
    Ke Inhein Aansuon Main Saja Kar Doosron Ke Saamne Pesh Kar Diya Jaaye
    Ye To Dil Ke Liye Hain Aur Dil Hi Dil Main Phelte Hain Aur Parwan Charte Hain
    Jub Gham Ashkon Ki Maala Ban Kar Bikharne Ki Koshish Karte Hain
    To Is Waqt Zamaane Main Inhein Samaitne Waala Koyi Nahin Milta
    Kyun Ke Ye Dunya To Khushiyon Ki Saathi Hai
    Is Ne Kab Rote Huye Chehron Ko Hansaaya Hai
    Balke Hamesha Hanste Huye Dilon Ko Rulaaya Hai
    Is Liye Behtar Hai Insan Apne Ghamon Ko Dil Main Chupa Kar
    Labon Par Muskurahat Sajaaye Aue Apni Zindagi Ke Din Poore Kar Le.




    jaanoo



    maqsad - Polling for Iqtbaas Competition March 09


  6. #6
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Karachi, Pakistan, Pakistan
    Posts
    126,450
    Mentioned
    898 Post(s)
    Tagged
    10965 Thread(s)
    Rep Power
    21474979

    Default Re: Polling for Iqtbaas Competition March 09

    ~*Rano*~

    'Cycle of replacement' mein sirf mohabbat ki replacement nahi hoti.Khud ko faraib deney k bawajood hum jantey hain k hamarey wajood mein khoon ki gardish ki tarah basney wala naam kis ka hota hai.Hum kabhi b ussey dil sey nikal kar bahar nahi phenk saktey.Teh-dar-teh us k upper doosri mohabbaton ka dhair lagaey jatey hai,kehtey hain k ab hum is sey mohabbat kartey hain,ab hum us sey mohabbat kartey hain lakin jo ziada door hota jata hai woh ziada qareeb aa jata hai aur woh hamarey dil aur dimagh k us hissey mein ja pohnchta hai k kabhi usko wahan sey nikalna parey to phir us k baad hum normal zindagi guzarney k qabil he nahi rehtey

    (From Amar Bail by Umaira Ahmed)

  7. #7
    Join Date
    Feb 2008
    Posts
    6,287
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    337 Thread(s)
    Rep Power
    21474859

    Default Re: Polling for Iqtbaas Competition March 09

    voted

  8. #8
    Hijaab's Avatar
    Hijaab is offline جنوں صفت
    Join Date
    Mar 2008
    Location
    Canada
    Posts
    25,300
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    442 Thread(s)
    Rep Power
    11381706

    Default Re: Polling for Iqtbaas Competition March 09


    voted............

  9. #9
    Join Date
    Feb 2008
    Location
    Someone's Heart
    Posts
    25,848
    Mentioned
    1 Post(s)
    Tagged
    24 Thread(s)
    Rep Power
    21474878

    Default Re: Polling for Iqtbaas Competition March 09

    voted
    SD ki Basanti

    Chal DhanoOo

    I Love the feelings When U Hold My Hand....

    53339010150654137193873 - Polling for Iqtbaas Competition March 09

  10. #10
    Join Date
    Mar 2008
    Posts
    3,135
    Mentioned
    0 Post(s)
    Tagged
    0 Thread(s)
    Rep Power
    21474856

    Default Re: Polling for Iqtbaas Competition March 09

    voted........
    Talk 2 me wen
    I’m Bored, B with me wen i’m Sad, Hug me wen i Cry,
    Care 4 me wen i’m Sick, Don’t ever cry 4 me wen I die!
    Just treasure me wen I’m ALIVE.

Page 1 of 2 12 LastLast

Posting Permissions

  • You may not post new threads
  • You may not post replies
  • You may not post attachments
  • You may not edit your posts
  •